Saturday, March 10, 2012

zindagi ki dastaan chhappi..


Mere chehre pe umar ki lakeerein aur
zindagi ki dastaan chhappi hai..

lakh chahun chhupana dhundli nazar 
aankhon pe mere ainak lagi hai.
main na janu padhna likhna 
kala akshar bhains barabar..
phir bi roz dekhti hun akhbar 
kabhi to hoga mujhe yaad koi akshar.