Thursday, March 15, 2012

Yeh alfaz feeke se..


Kagaz ne kaha qalam se.. 
Kyun hai aaj yeh alfaz feeke se..
Qalam ne kaha..tha sab kuch per
koi juda kar gaya DIL ko ROOH se.. 
Na hai dard na ghum aur 
na hai koi khushi ab paas mere.. 
Bas kuch aansu hai 
Jismein dhoobo ke likhe alfaz 
bedard aankhon ko rula ne ke liye..