Tuesday, September 6, 2011

Kaali si raat chhupa gayi din ko..

kaali si raat chhupa gayi din ko..
jaise Raat ka andhera nigal gaya ujjale ko..
shaant hai galiyaan shaant hai maidaan,
shaant hai bhagiche shaant hai raste.. 
bhagte hue shor se soye hai kai to, 
kai hai jaage apne kaam se.
kahin roshini toh kahin hai andhera makaan mein.
soyi hai choti se badi gareebi joperpatiyon mein.
tute ho jaise ladte ladte din se 
thak ke soye hain laashon ki tarah.
daud rahi hai gaadi tez raftar se 
khali se raste per jaise karti ho baatein hawaa se.
sunsaan si kaali raat hoti jati hai daravani si.
bhonkte hai kutte kisi ajnabi ko dekh.
aati hai aawaaz chowkidaar ke sitti ki.
kitni ajeeb si hai yeh kaali si raat.
phir chhin kar laati hai subah raat ke muhh se din ko
chalne ke liye apne saath.
kitni ajeeb se hote hai yeh din aur raat..
koi karta hai shor to koi rehta hai shaant.