Wednesday, May 18, 2011

YEH JEEVAN EK RAIL...


Kudrat ka khel.
Yeh jeevan ek rail.
Safar lamba ho ya chhota.
Sabko milta hai apna mauka.
Woh(kudrat) naach nachay sare.
Par usko samajh naa insaan paaye.
Roz salaam karte hain usse(rabbji).
Sau baar yaad karte hain.
Par apni-apni soch mein
atak gaye sab pyare.
Uska(rabbji) khel wohi jane.
Phir tu kyun dhoondta
hai kai bahane.
Sari shrishiti ka Raja  
bada mann mauji hai woh.
Tere haath mein to 
kuch bi nahi hai.
Phir kyun sochne mein 
waqt ganvaaye..
Kaal ke jaal mein 
khud ko phansaye.
Pata nahi yeh rail kab 
aur kahan ruk jaye.
 Afsos kisi ko bol bi 
naa paaye aakhri bye bye.