Thursday, July 23, 2015
Waqt, ki kya baat hai..
www.jazz0961
blogspot.com
Yeh meri 1000nd post hai ..
Waqt ki kya baat hai,
Mann mauzi, uska mizaaz hai..
Sukh aur dukh haathon mein liye
Pata nahi, karta kiski talaash hai..
Rukta nahi woh kabhi bas
Kuch palon ke liye khushi aur
Gham se sukh aur dukh ko mila deta..
Waqt chalta hie rehta hai
Bas kisi ki zindagi,
Kabhi roshini toh
Kabhi andhre se bhar deta hai..
Waqt toh waqt hai humesha badalta hai
Kabhi accha toh kabhi bhura hota
hai,
Par kabhi kisi ka sagga nahi hota hai..
Yeh kaisi waqt ki leela hai,
Jab dekho usse bas gol hie gol ghumta hai..
Labels:
Mann mauzi
Tuesday, July 21, 2015
Aankhon Ki Kalam...
Aankhon ki kalam ko
Ashkon ki siyahi mein,
Dubo gayi teri yaadein..
Khayalon ke panno pe
Tasveer bana di teri
Purani yaadon ne..
Saanso ke taar se dil ko
Behla rahe dhadkan ke saaz..
Khamosh lab bi gunguna ne lage
Jab zubaan pe aaya tera naam..
Yeh kaisi deewangi hai,
Yeh kaisi mohabbat hai teri,
Jo bas tujh mein hie
Khoye se rehte hain hum aaj bi..
Labels:
dhadkan ke saaz..
Wednesday, June 3, 2015
Tere Khayalon Ka Aana..
Tere khayalon ka aana,
Aake yun hie nazron mein ruk jana..
gujre hue lamhon ke yaad aate
hie
Ghumsum si palkein, ashqon se num
ho gayi..
Laut ke aa gayi hai mausam ki bahar,
Yeh jarna yeh phool aur
Yeh pakhshiyon ki aawaz..
Yaad aa gayi wo suhani si yaadein..
Bas teri yaadein hain jo khayal
ban ke
Mujhe yunhi intezaar karaye..
Kabhi toh tum laut ke aaoge mere paas..
Tuesday, May 26, 2015
Jo Kudrat Ne Nirtya Kiya..
Palak
japakte hie deh gaye
Aashiyane
jo kudrat ne nirtya kiya..
Bhikhar
gaye naa jane kitne mala se moti
Koi
yahan toh koi kahan gaya..
Toot gaye mahal, loot gaya dharti ka prani
Naa jane kaisi thi kudrat ki dewaangi..
Aaj bi insaan samet raha hai
Tinke aapne aashiyaane ke..
Kal jahan mahal thay khade
Aaj mitti ke dehr hain pade.
Eet se eet jodke, gar banaya
Na jane kitne armaano se,
Apne pariwaar ko basaya..
Yeh kaisi mauz hai teri bhagwan.
Jo tere khel ke aage
Har jeev behbas aur lachaar hua,
Aaj yeh haal dekh ke dil roh diya..yaa rabba.
Labels:
dewaangi..,
kudrat ne nirtya
Sunday, March 8, 2015
Kab Dhadkan Ruk Jaye...
Ab
toh agle pal ka bi barosa nahi aur
Khuwaishon
ke mahal
Khade
kar diye hazaron mein..
Aaye
din dekhte hain,
Kab
dhadkan ruk jaye pata nahi..
Kuch
palon mein saanse,
Halak
mein atak jaye kaun jane..
Ab
toh maut ka bi koi bharosa nahi..
Maulat
bi nahi milti kuch pal ki
Ke
apno se kuch keh paaye
Jaate jaate, gale milke alvida keh jaayein..
Bin bataye aa jati hai woh (maut)
Apno se chhin jati hai kisi apne ko..
Dekh ke aaj ke halat dil udaas ho jata hai
Afsos..umar kharch ho gayi duniya ko
Sochne, samajhne mein
Aur aik pal bi na laga saanson ko
Dhadkan se bichharne mein..
Saturday, February 14, 2015
Aaye Aur Chalte Gaye...
Aaye aur chalte gaye
Pal pal yaadon mein badalte gaye..
Zindagi ki raah pe
Din, raat mein palat te gaye..
Samay ka chakra chalta raha
Roz marah ke kaamon mein
Jeevan ulhajta raha..
Kabhi koi saath chala toh
Kabhi koi chhod ke nikal chala..
Har raah pe hai aik naya sa modh..
Rukta toh koi kisi ke liye nahi
Phir bhi kyun hai kisi ke
Saath hone ka ehsaas dil ko..
Kaun jane kahan se chale aur
Kahan jaa ke ruk jaye yeh kadam..
Har pal pal ka hai mol bada
Jab aaye dard zara..
Chalak jaye ashq juka ke palkein
Jab jab aankhen roye
Dil ke kande pe bichhadne se.
Kaun jane kahan antim
Pal hai khada judai ka..
Manzil toh sab ki ek hai,
Bas sawari mein hai fark bada..
Beeta hua pal laut ke nahi aana,
Gujre hue kal mein naa kho jana ke
Mile hue aaj se haath doh baithe..
Subscribe to:
Posts (Atom)








.jpg)