Saturday, February 14, 2015

Aaye Aur Chalte Gaye...

Aaye aur chalte gaye
Pal pal yaadon mein badalte gaye..
Zindagi ki raah pe
Din, raat mein palat te gaye..
Samay ka chakra chalta raha
Roz marah ke kaamon mein
Jeevan ulhajta raha..
Kabhi koi saath chala toh
Kabhi koi chhod ke nikal chala..
Har raah pe hai aik naya sa modh..
Rukta toh koi kisi ke liye nahi
Phir bhi kyun hai kisi ke
Saath hone ka ehsaas dil ko..
Kaun jane kahan se chale aur
Kahan jaa ke ruk jaye yeh kadam..
Har pal pal ka hai mol bada
Jab aaye dard zara..
Chalak jaye ashq juka ke palkein
Jab jab aankhen roye
Dil ke kande pe bichhadne se.
Kaun jane kahan antim 
Pal hai khada judai ka..
Manzil toh sab ki ek hai,
Bas sawari mein hai fark bada..
Beeta hua pal laut ke nahi aana, 
Gujre hue kal mein naa kho jana ke 
Mile hue aaj se haath doh baithe..