Friday, September 9, 2011

Mere sitare ....

Mere sitare bairi hogaye.
gardish se uttar kar
hatheli pe baith gaye.
meri hatheliyon per
maar di hai kai lakirein
choti aur badi si.
dekhti hun to
samjh nahi paati
in lakiron ki basha.
waah khudaya
kya sochke tumne
dono hatheliyon per
yeh kaunsi ganit ka
hisaab likh dala.

Thursday, September 8, 2011

Sare rishtay jhute..

Sare rishtey jhoote
naam ke bandan mein.
na hai koi kader ab
kisi rishtey ki 
jab chaha tod diya.
apna muhh faer diya 
apne bol kar.
tod dete hain dil 
naa samjh bankar.
dete hain dard ki 
saugaat umar bhar ke liye.

Dil tha nadan...

Dil tha nadan 
kar baitha
dard se dosti.
kahan tha pata dil ko.

dosti karne ke baad 
itna tadpayega dard..   
aankhon se bi nahi
dekhi gayi dard ki bewafai 
baras pari palkon ko
bheego kar barish ki tarah.

Aaj bikhar ke ...

Aaj bikhar ke ghir gaye moti..
jo humne mala mein pirohay thay.
dil ke taar bi tut ke
de gaye dard aisa..
ab dhadkane sisakti hain
dilse bichharne se.

Tuesday, September 6, 2011

Kaali si raat chhupa gayi din ko..

kaali si raat chhupa gayi din ko..
jaise Raat ka andhera nigal gaya ujjale ko..
shaant hai galiyaan shaant hai maidaan,
shaant hai bhagiche shaant hai raste.. 
bhagte hue shor se soye hai kai to, 
kai hai jaage apne kaam se.
kahin roshini toh kahin hai andhera makaan mein.
soyi hai choti se badi gareebi joperpatiyon mein.
tute ho jaise ladte ladte din se 
thak ke soye hain laashon ki tarah.
daud rahi hai gaadi tez raftar se 
khali se raste per jaise karti ho baatein hawaa se.
sunsaan si kaali raat hoti jati hai daravani si.
bhonkte hai kutte kisi ajnabi ko dekh.
aati hai aawaaz chowkidaar ke sitti ki.
kitni ajeeb si hai yeh kaali si raat.
phir chhin kar laati hai subah raat ke muhh se din ko
chalne ke liye apne saath.
kitni ajeeb se hote hai yeh din aur raat..
koi karta hai shor to koi rehta hai shaant.

kudiyaan...

Hansti hai kudiyan jaise
khanakti hain kalai mein chudiyan.
mithi mithi si muskaan unki
bhar deti hai khushiyaan.
rang bi rangi chudiyon mein
chhupa hai rang unki mastiyon ka.
unka alharpan unki nazakat
sunati hai unki kalai ki chudiyan.
badi soni hoti hain yeh kudiyan.
jaise kaanch ki chudiyan.

Sone sa chhora

Chand per hai taaron ka pehra.
loot na jaye sone sa chhora.
aayi hai raat kar ke solah singhar.
le na jaye kahin chand ko
banke apne sar ka taj.