Wednesday, August 6, 2014

Bandh Muthi Kismat Ki..


Khabar agle pal ki nahi, chinta umar bhar ki hai..
Laya tha bandh muthi kismat ki, phir kyun pareshaan sa hai..
Sab woh deta hai waqt pe, phir fikar kisi cheez ki hai..
Dher, saver waqt ki hoti hai,kismat pe apne toh yakeen kar..
Zindagi di hai, toh takdeer bi likhi hogi, acchi nahi toh thik si hogi.
Heere aur sone si nahi par zindagi phoolon si toli hogi..
Pal pal anmol hai zindagi ka,kyun naa kare kader..
Be jaan si cheezon pe kyun kare hai itni fikar..
Aaye hain toh jana hai, ek din sab ne kabhi na kabhi..
Apna apna kehte hain par waqt pe,koi nahi deta do saanse udhaar ki..
Mila hai kismat se toh istamaal bi kar,
Naa ki bandh kar ke,aane wale kaal ka intezaar kar..
Pata nahi phir mile na mile,woh tere naseeb mein..
Uska diya woh jab chahe le le, phir chahe woh jeevan ho 
Ya aur koi punji(daulat,aulad)..
Ab waqt aisa aaya hai kuch keh nahi sakte 
Palak japakte kab kuch ho jaye..
Itne phans chuke hain is moh maya ke chakkar mein
 ke dene wale ko bhool gaye..
Apni mohr lagakar khuda ban baithe..
Naashukar insaan se, bada koi paapi nahi. 
Malik ne farishta banaya jeevan ki daulat ke sukh de kar 
Kisi ke liye farishta toh naa ban sake par laalach ke gulaam ban baithe..
Maut bi aayi toh maulat bi naa mili, jo gale se laga ke le jate woh sab, 
Jis ko umar bhar sambhala sab ki nazron se, woh hie chhod ke chale,le kar ke muthi khali..