Saturday, March 22, 2014

Har Taraf Hai Itna Shor...

Aaye din 
Har taraf hai itna shor...
Siyasat ki kursi ka shor..
Durghatna ho jane ka shor..
Jahan kaan aur aanken jaye bas
Sunayi aur dikhayi deta hai shor hie shor..
 yeh kaisa hai waqt aaya,
Labhon pe jhooti muskaan aur
Aankhon mein hai khanjar chhupaya..
Kya isliye janame 
Dharti pe nari ki kohk se, 
Hosh sambhalte nari 
Ko hie apna shikar banaya..
Itna neeche gira nar jaati ke aaye din
Machi hai loot aisi ke insaan se haiwaan bana,
Aisa gira jeev ke tod diye sare rishte naate apno se..
Behan aur betiyon ko apni hawas ka shikar banaya..
Kaisa morh hai kudrat ka ke apne hie
Gar mein nahi surakshit nari..
Bhook aisi badi lalach aur hawas ki
Ke nochte aur loot te hain andhe hoke insaan...
Kahan se aaya itna josh aur krodh ke
Hue hain aise halat jo bandh ghar ka shor
Ab nazar aata hai galiyon aur bazaaron mein.
Lalach aur hawas ne toh kisi ko khushi  nahi bakhshi..
kyun ban baithe ho lobi bahriye 
insaan ka nakab odh ke karte ho itna shor..