Tuesday, December 10, 2013

Ginti ki Mala...

Zindagi ke safar mein saanse ho ya dhadkane, 
Khushiyaan ho ya dukh, sab hai ginti se tol mol ke milta.. 
Karmon ke tarazu mein,sab hai hissab apni apni karni ka..
Zindagi ke safar mein, janam se 
Maran tak hai ginti ko jodna aur kaat na..
Par bhool gaye ginti apne karmon ki..
Jodte gaye karni ki ginti bharm ke aaine dekh ke.
Hue aamir duniya mein par garib ho gaye sab kho ke 
Apne karmon se us malik ke nazar mein..
Mile kai mauke karmon ke tarazu ko sahi karne ke 
Par tha parda ghuman ka itna ke 
Aankhon ko kuch aur nazar na aaya..
Aaya waqt aisa ke karni aur 
Karam ka tarazu hua upar niche..
Atak gayi ginti saanso ki dhadkon se..
Toot ke chuur hua bharm ka aaina 
Kaat kut ke ginti shuniya rahi..
Aaye thay, karmon ki ginti kaat ne par 
Jaa rahe hain karni ki ginti ka hisaab jod ke..
Phir se is ginti ki mala ke phere mein 
Phans gaye re manna tum..