Sunte aaye thay uske ghar dher hai andher
nahi..
Woh rakhta hai nazar sab pe jaise gari ki
sui.
Likhta hai woh pal pal ka hissab
Har ek zindagi ka kitaab mein..
Aaj aake dekha panne apne jeevan ke hissab
ke..
Ufffff yeh hai karmo ki kitaab..
Kuch alfaaz hain jaage aur kuch soye hue
katar mein..
Is mein hai hissab kitaab naiki aur baddi ka..
Ek yeh panaa hai meri zindagi ka
jane anjane kiye maine itne gunha
Jo sharm saar hoon main apni hie
nazron mein..
Milte hain kai janam rone aur
pachhtane ko
Par milta nahi koi aisa janam
Phir se aake maafi maang ne ko..
Mila insaani chola kuch accha karm karne
ko
Par mann ki laalach ne dhoobo diya
Is jag magati duniya ki chamakte khilono
mein..
Aaj aaya hosh toh to dag magaya sa main
Afsos phir se ghumna padega 84 lakh ke
chakkar mein..