Monday, January 23, 2012

Waqt ke hain do haath..


Waqt ke hain do haath..
dharti aur aakaash..
Waqt chalta hai apni chaal..
din aur raat..
Waqt jaise chahe waise karaye.. 
saal ke 12 maas..
fir bi koi uff na kar paye 
24 ghante mein ek baar..
jo kare mann maani waqt kare de 
uske jeevan mein haani.
Waqt se na lad paya aaj tak koi.
kaisi chaal chalta hai na yeh waqt 
tik tik karke dil ki dhadkan se  
jaise khelta hai aankh micholi..