Friday, November 25, 2011

JAB HUM BACHCHE THAY..



Jab hum bachche thay,
Mann ke sache thay. 
Dhin duniya se kachche thay.
Naa thi jhoot aur sach se dosti.
Humari totli baaton pe maa bi hansti.. 
Dekha aaina to jana khud ko sayana.
Dhire dhire khud ko pehchana..
Pata nahi kahan kho gaya bachpan,
Chota sa ho gaya aaina. 
Pata nahi kab chhuta peeche
Maa ka aanchal aur baba ka haath.
Kho gaye duniya ki bheed mein hum aur aap...
Aaj hua ehsaas us dard aur khushi ka
Jab hue apne bachche.
Phir yaad aagaya wo gujra zamana
Jisko chhord aaye thay kal.
Aaj wo bachpan yaad aaya.
Jab apne bachhon mein
Dekha khud ka bachpan..