Saturday, October 22, 2011

Dard ke aansuon se...

Kab se hain haath tumare 
gile dard ke aansuon se.
 kitni siskiyaan hain in mein,
chhupi hui tumari

pyare dilbar ke liye.
Raat bhar kitna roya hai,
tumara dil uski yaad mein.
aur wo bekhabar hai
kisi aur jahan mein.
aaj kar de sare dard
apne bayaan chand ke aage.
shayad wo hi jaa ke tere dilbar ko
tere dard-e-dil ka haal bata de.