Wednesday, August 24, 2011

DIN AUR RAAT...

Kawe ki kaw kaw se.
murge ki kukru koo se.
chidiya ki chu chu se.
jaage suraj maharaj.
lete angrayi fahli kirane
aayi roshni ubhar ke
andhere se bahar.
udh chale parindey apne gale se.
khil utha patti patti
khil uthe phool aur paudhe.
jaaga har jeev dharti pe.
chale zindagi dhone
apne apne karmo ke bojhse.
koi khushi se ya
koi lachari se.
daud rahi hai zindagi
ek chakra ki tarah
subah aur shaam.
chad jata hai din
yeh sab dekhkar.
aati hai raat odh ke
shaam ka libaas
sajja ke chehre pe
halki si gulabi laali.
chhupa leti hai din ko
apne aanchal mein.
dheere dheere se jana
hai din raat ki chhaon mein.
holay se raat
khol deti hai jo zulfein
fehal jata hai andhera.
upar chehre pe jo
sajaya chaand ka tika.
taaron ke chunri odh ke
lo aaj phir raat hui suhaagan.