Friday, July 22, 2011

Lamha lamha gujarta jaye....

Lamha lamha gujarta jaye,
ah zindagi phir bi tu
kyun na mere saath aaye.
saanso ki raftar badti jaye.
dil hai ke hichkholay khaye.
dil ke dard ki peera be
ab na sayi jaye.
ah zindagi kyun
tu mujhe yuh tadpaye.
ab to meri aankhon
mein be ashq bhar aaye.
phir be tu mujhe samjh na paaye.