Tuesday, April 26, 2016

Yeh Jeevan Hai...

Yeh jeevan hai..
Kuch saanson ki
Dor se bandi dardkano ka..
Naache hai insaan katputli sa..
Mann pe naa chale jor dil ka..
Lalaach ne lalchaya,
Majboori ne nachaya..
Waqt ne bas dur baith ke
Apna farz nibaya..
Har baar insaan gari
Dekh ke apna kariya karta..
Karni aur karm ko woh
Naa jane na pehchane jab tak
Kisi jaal mein naa phans jaye..
Phir toh pheer,pandit mandir,
Masjid aur girjaghar hai jata..
Take take ke maatha apna 
Apni karni ki maafi mangta..
Naa jane zindagi ne 
Kaisi khuwaishen kar li hai jo
Khud ko har roz daav pe lagata.
Naa saanso ka barosa hai, 
Naa hie dardkan ka 
Pata nahi kab daga de jaye dono.. 
Zindagi laayi thi jeevan dekar,
Maut le jayegi jeevan chura kar..

Friday, April 15, 2016

Dharti Tadapti Hai Dard Se..

Kahin pe jaljala toh kahin pe hai sukha,
Kahin pe hil jati hai zameen toh,
Kahin pe garaz te hain badal..
Aaj bi dharti tadapti hai dard se,
Kyun taar taar hai uska aanchal..
Kahin pe bhoond bhoond ko tarse
Toh kahin pe aag se hai jalti…
Yeh kaisi pariksha hai jo,
Dharti ke aanchal pe
Aisse dard ki olhay hai girte..
Thaame hai apne aanchal mein
Vishal gagan ko,
Phir kyun tadpe hai
Woh aasman ko chhune ko..
Yeh kaisa hai teen lok,
Darti ke ek haath mein
Aakaash toh ek mein paataal..
Dard se karati, kis ko de dosh..

Saturday, April 9, 2016

Yeh Jeevan Hai Anmol..

Eh zindagi,
Yeh jeevan hai anmol ke nahi,
Uss maa se jaa ke puchh..
Jisne kiye tere liye dard
Aur dukhon ka saamna..
Teri har karvat pe woh
Dheeme se muskurati,
Teri har dard ko woh sehlati..
Kitni raaton ko jaagi,
Kabhi nahi tujhe woh jatati,
Teri har aawaz pe woh
Dauri chali aati..
Uski dhadkan ka tha
Tere dil se aisa naata,
Jo tum roye, toh woh tadap jati..
Aisi maa ki fikar naa kar ke
Chaar din ke rishte mein,
Tum kya ulhje apni jaan hie de daali..
Yeh kaisi mohabbat hai
Jo aik pal bi tujhe,
Uss maa ki yaad naa aayi..
Aaj bheega hai aanchal uska aansun se,
Rohti hai aankhen uski..
 kya is din ke liye
Aayi thi eh zindagi, tum banke uski..


Saturday, April 2, 2016

Dil ka Darpan ho,

Dil ka darpan ho, ya ho deewar pe,
Nazar aata hai chehra 
Dono mein alag sa..
Do chehre har insaan ke
Jab tak aankhen na jatay sab fareb..
Kaisa hai yeh darpan, 
Jo insaan munh pe meetha,
Peeth pichhe khatas liye phirta..
Mann ki chanchalta aisi 
Jhoot ko bi batay sach..
Kaisa hai yeh fark darpan ka..
Kyun pehn ke insaan chehra,
Nache katputli sa yahan wahan..
Aisi kaunsi hai wajah, 
jo samjhe na dusre ke dard ko..
Kyun nahi dil ke darpan ko dekhte 
Jo deewar pe lage 
Darpan mein bi wohi nazar aate..


Saturday, March 19, 2016

Makaan kai hain har taraf...

Makaan kai hain har taraf par ghar nahi..
Deewaron pe darwaaze hain bandh
Toh khidkiyon pe hai parde bandh..
Sheher ke yeh kaisi hawa hai
Jo sab hai bandh har pal..
Uthi hai deewarein itni unchi ke
Fark par gaya hai insaan ki soch mein..
Doriyaan itni ho gayi rishton mein 
Doston ne jagah le li apno ki..
Har jagah hai saath doston ke 
Bhool gaye apno se rishtey..
Kyun hua hai itna badlao 
Har ek chal raha hai apne mann ki chaal.. 
Kya waqt itna badla ya rabb ne 
Palat diya hai insaan ke, sochne ka tarika..
Kahan kho gayi woh raunkay parivaar ki 
Jahan hote thay apno se hansi mazaak ke thaakay..
Nazar aati thi khushiyaan aangan se 
Chote bade parodsi ke parivaar ki,
Abh bas aate hai nazar darwaaze bandh durr se..
Naa hai apno ka aana jana 
Naa hai koi khabar apne aas paas ki.. 
Fursat nahi hai abh jo soche zamane ki.. 
Subah se raat tak daud rahe hai naa jane 
Kis gore pe jo hoti jaa rahi 
Zindagi daav pe lagi juvari si..
Khushiyaan kauson durr chali gayi 
Jab deewarein pe darare nazar aane lagi..
Kal ke chhote makan aur haveli ke aage 
Unchi unchi emaratein khadi ho gayi..
Eh zindagi tum toh naa makaan, 
Naa hie ghar ki ho saki, 
Bas subah se raat tak naa jane 
Kis daud mein kho gayi.. 

Thursday, December 17, 2015

Tab Tak Sab Badal Gaya...


Zindagi ko samajhte,
Tab tak sab badal gaya..
Jaise koi khwab tha,
Aankhon se gira..
Umar zindagi ki, palat gayi jaise
Hawa ke jokhon se
Paltay panne kisi khuli kitaab ke..
Kahin pe thay kuch uljhe hue toh,
Kahin pe thay aadhe mure panne..
Waqt jaldi chala tha ya main hie
Kho gayi thi waqt ke pehlu mein..
Zindagi ko samajh hie naa payi ke
Waqt kaise chala gaya din se
Mahine aur saal ko ginte ginte...
Abh sochti hun ke kahan kho diye
Meri zindagi ke sapne,
Grahsti ko jodte jodte...
Palat ke dekhti hun aaina toh
Nazar aati hai, chehre pe thakaan si.. 



Thursday, November 26, 2015

Kismat aur Karma acche ho...


Kismat aur karmas achhe ho toh
Heere aur sone ke 
Jaal mein phas jate hai..
Jab kismat ruthi si ho 
Aur karmas achhe ho,
Jeel si aankhon se
Moti se aansu beh jate hai.. 
Acchi kismat aur 
Acche karm walon ko achhe phal
Aur sukh ki chhaon naseeb hoti hai..
Kismat aur karmas ke naap tol mein
Phas gaye dharti ke jeev.
Kudrat ki kaainat se lok parlok sajja,
Kismat ke aage haar gayi 
Na jane kitni zindagiyan..
Yeh insaano ki aankhon pe 
Maya ke jaal chamakdar..
Phas gaya maanv dekh ke 
Is lok ki jag magahat,
Naa jane kitni baar kar baitha 
 apne halat se samjohta...
Aankhen ho jati hai num, 
jab dil hai rota..
Kis kis se puchhe,
Kyun hua hai
Mere saath aisa dokha.
Kismat ke sitaron se
Mere karmas ulhaj gaye
Ya mera naseeb hie hai aisa.