Sunday, January 8, 2017

SAPNE...

Sapne.... 
Mere sapne tere sapne, 
Kaise hai yeh apne apne..
Khuli aankhon se, 
Bandh aankho mein aate.
Anjaan duniya mein ghumate..
Kabhi kuch jane,
Kabhi kuch anjaane se 
Chehre hai nazar aate..
Naa jane yeh kaisi duniya hai jo 
Bandh aankon ke sapne 
Ulhja jaate hai adhuri si baaton mein.. 
Kabhi rula jate hai toh 
Kabhi darra jate yeh sapne
Kuch adhuri kahaniyaan jo 
Aankh khulte hie dundla jati hai.
Kuch adhuri baatein jo 
Jaagte jaagte dimaag mein ruk jati hai..
Ulhji si nazar khuli aankhon se 
Jodti hai bheete hue bandh aankhon ke sapne..
Kaise hai yeh sapne jo 
Needh mein hie aate hai satane..
Bheete hue kal se aane wale kal ki 
Adhuri zindagi ki kahaniyaan dikhane...

Wednesday, January 4, 2017

Saathi Is Jeevan Ki Rail Ka...

Ooh re manna kyun ho tum itne udaas,
Koi nahi hota humesha saath..
Jeevan ke safar mein 
Milte hai aisse log hazaar 
Par koi nahi chalta saath. 
Mann ko behlana kuch lamhe unke beech,
Yeh nahi hai tere koi aziz..
Badal jate mausam, 
Yeh badle toh kyun hai tumko gham..
Matlab ke yeh dost, matlab ke yeh rishte 
Milte hai jeevan ke safar mein..
Naa rahe udaas safar mein 
Nahi humesha hota hai har koi saath..
Safar hai zindagi ka jeevan ki rail se, 
Kai aaye kai gaye, 
Naa jane kya kya saugat de aur lekar gaye.. 
Bas kabhi kuch ashq chhalak gaye aur 
Kabhi chhoti si muskaan chehre pe 
Khil gayi yaad aate hie unn palon ki.. 
Koi nahi tera ya mera, 
Har koi hai bas 
Saathi is jeevan ki rail ka...