Mumbai tere gohd mein
Lambi khadi emaratein dekhi.
Niche baithi juriyon mein
Sapne bunti aankhen dekhi.
Roz roz zindagi se rote
Muskurate jeevan ki
Gaadi chalte dekhi..
Gandagi aur kichad mein
Zindagi ko panapte dekha,
Naye phoolon ko khilte dekha..
Dard aur gham ke saaye,bhukhe paet
Chhupate tujhe muskurate dekha..
Dekhe tere bheege
Aanchal pe aansu ke daag
Jab tu roti hai chhupa ke apna haal..
Tere paas aane ko
Tarasti hai kitni bhayein
Chhor ke apna desh aur gaon..
Samet leti hai sab ko
Apne aagosh mein..
Basa deti hai lambi emaraton
Ya chhoti jopriyon mein..
Badnaseeb jo aaye apni kismat aajmane
Unne bi beetha deti hai footpath pe
Zero se hero banne ke liye
Par koi nahi jata tujhse durr
Aik baar teri choukhat pe aake..
Ohh mumbai meri jaan
Tujko hai har mumbaikar ka salam..