Par aaj dekho toh khud hie
Ulhj gaye hai apni soch se..
Jo kuch karte hai bas
Zimmedari samajh ke karte hai..
Arre yeh kaisi soch hai humari
Jo humko hie hai nachati..
Naa jane kab kali(beti)
Aangan ki phool bani,
Titli ban ke udhne lagi..
aur kab beta khidki se
Darwaaze tak paunch gaya..
Naa dekha unka bachpan
Naa hie mili fursat jo,
Kuch pal waqt ko rok lete..
Khud ke liye fursat nahi jo
Chaar pehr ki needh le sake...
Aaj yahan toh kal wahan,
Bas daudte hai khuwabon
Aur khayalon ke pichhe..
Phir bi kehte phirte hain
Waqt badal gaya..
Par waqt ko murh ke dekha
Toh woh wahi tha khada,
Jahan chord aaye thay kal...
Bas hum khud hie daud daud ke
Kho gaye maya ke mehal mein..
Apni daud poori karni hai,
Kuch adure sapne sametne hai,
Bas waqt ko pakadne ke chakkar mein
Naa kabhi khud ke liye socha,
Naa hie kabhi khud ke liye jeeye..
Ab jo apno se dur ho gaye,
Zindagi ke safar mein..
Sochte hai,
Kaash waqt ko samjha hota
Kuch waqt ke liye...