Kudrat ke khilone,
Jeev jantu,janwar,pakshi,aur insaan...
In sab mein kudrat ne di hai jaan...
Badi khubsurti se
Sajjai dharti aur aasmaan.
Jis din se aaya insaan tod diye
Sare prakruti ke neeyam.
Padh likhkar bada hogaya,
Rabh ki duniya hie badalne laga.
Uski sajjai prakruti ko mitane laga.
Yeh laaye toofan aandhi aur sailaab...
Mit gayi khubsurti,
Mitne lage hain kai praniyon ki jaan..
Bada pareshaan abh hai bhagwaan
Kyun banaya yeh insaan?
Sare prakruti ke neeyam tod diye.
Apne he haathon se kitne qatl kiye...
Kabhi khuda ke naam per toh kabhi
Bhagwaan ke naam par apne paet bahare.
Rota hai aasmaan,
Jab bi dharti hoti hai udaas.
Kahan woh teri khubsurti gayi
Jisse eshwar ne racha..
Kahan hai woh pyari pyari hawain,
Woh pyare se mausam jeen ke
Inthzaar karte thay hum.
Abh toh suraj ki garmi se
Dharti per jeena hai mushkul.
Jungle ko kaat kar ghar banaye.
Kahan jaye rabb ji ke pyare jeev.
Sab rote hain insaan ki wajah se,
Insaan sohte hain a/c mein aaramse..
Kya sujji tuje uperwale
Jo yeh insaan banaye.
Humko behghar karke
Inhone apne ghar banye.
Teri prakruti ke neeyam
In per kyun na tumne lagaye...