Paisa
insaan ko khub nachata hai.
Sukh ki chhaow apno ke naam,
Karte hain machine ki
Tarah subah se shaam kaam.
Pardes mein aati hai
Apno ki yaad..
Wo maa ke haath ki roti
Wo behna ka pyaar..
Paet ki bhuk le jaye apno se dur.
Umar katt ke ho jaye aadhi..
Maa-baba ke buddape ki
Hum banjaye laathi..
Bas apno ke liye
Yeh zindagi kaam aajaye.
Yeh hain sapne har ek ki aankhon ke.
Paisa le de zindagi ki sab sukh..
Paisa zindagi mein jaroori hai...
Kismat ka khel hai,
Paisa haath ki mail hai.
Koi mahal mein paunch jata hai.
Koi zindagi ke do haathon ko
Jorate jorate duniya se chala jata hai..