Tuesday, May 31, 2011
PRAKURTI KE NEEYAM..
Kudrat ke khilone,
Jeev jantu,janwar,pakshi,aur insaan...
In sab mein kudrat ne di hai jaan...
Badi khubsurti se
Sajjai dharti aur aasmaan.
Jis din se aaya insaan tod diye
Sare prakruti ke neeyam.
Padh likhkar bada hogaya,
Rabh ki duniya hie badalne laga.
Uski sajjai prakruti ko mitane laga.
Yeh laaye toofan aandhi aur sailaab...
Mit gayi khubsurti,
Mitne lage hain kai praniyon ki jaan..
Bada pareshaan abh hai bhagwaan
Kyun banaya yeh insaan?
Sare prakruti ke neeyam tod diye.
Apne he haathon se kitne qatl kiye...
Kabhi khuda ke naam per toh kabhi
Bhagwaan ke naam par apne paet bahare.
Rota hai aasmaan,
Jab bi dharti hoti hai udaas.
Kahan woh teri khubsurti gayi
Jisse eshwar ne racha..
Kahan hai woh pyari pyari hawain,
Woh pyare se mausam jeen ke
Inthzaar karte thay hum.
Abh toh suraj ki garmi se
Dharti per jeena hai mushkul.
Jungle ko kaat kar ghar banaye.
Kahan jaye rabb ji ke pyare jeev.
Sab rote hain insaan ki wajah se,
Insaan sohte hain a/c mein aaramse..
Kya sujji tuje uperwale
Jo yeh insaan banaye.
Humko behghar karke
Inhone apne ghar banye.
Teri prakruti ke neeyam
In per kyun na tumne lagaye...
Monday, May 30, 2011
NAZAR NAZAR SE..
NAZAR NAZAR SE BACHTI RAHI.
BACHPANSE APNE SAPNE BUNTI RAHI.
EK AISE SAATHI KA JISE MANN BHAAYE,
DIL CHAHAY AUR USSE
DEKHKAR NAYAN SHARAMAYE.
PHIR WOH BOLE HI HI LO HUM AAYE,
TERA DIL CHURANAY
PALAKON MEIN CHUPANAY,TUMKO
APNE MANN MANDIR MEIN AAJA BITHANAY.
Labels:
BITHANAY.,
SHARAMAYE.
Sunday, May 29, 2011
Woh na aaye....
Woh na aaye..
Na aayi koi khabar...
Unke intezaar mein
Sari raat so naa payi.
Pal pal kat ta nahi,
Raat hai dalti nahi,
Din hai chadd ta nahi.
Deewani si ho gayi main..
Sabse nazrein churati rahi,
Per teri raha niharti rahi.
Dil be toh nahi mere bas mein,
Jo laage tumein karti hun
Main kitna yaad..
Uff..kaun sangh karu teri baatein
Jo aaye tumein bi meri yaad..
Friday, May 27, 2011
KAUN HAI APNA.....
kaun hai apna, kaun hai paraya.
jab sabke sar par hai, ek malik ka sayaa.
kaise bole jo saath hain wo apne hain.
jo rishton ke bahar hain wo paraye.
kaun karega faisla, kis se puchenge iska hul.
apne hokar be, parayon jaisa vehvaar karte hain.
paise paise ko rulate hain, roti ke liye be tarsate hain.
jo paraye hain apne bankar saath nibhate hain.
waqt pe paise ka be hisaab nahi karte.
apno ke paas apno ke liye waqt nahi,
dukh aur dard mein bi saath nahi.
jo paraye hain paas aajate hain,
kisi bi waqt madad ke liye.
apne aur paraye ke behd mein
apno ne diye ghaav aur nafrat,
parayaon ne lagaya uspe mahrum pyaar ka..
Labels:
bahatte,
mahrum.ghav,
vehvaar
AANSNU.....
palakein mili bi nahi
aur tum chhalak gaye.
kuch hua bi nahi ke dard ka
bahana banakar ghir pare.
dukh ya khushi sunte he
chal padte ho nayano mein.
kabhi sailaab banker dukh aur
dard ko kum karte ho.
kabhi moti bankar khushi se
chamak jate ho gaalon per.
tum per pyaar har haal pe aata hai.
tum itne naazuk ho ke
sambalna be muskul hai.
sab ki aankhon mein rahte ho.
tum ko rabhji ne
palakon ke piche chupaya,
per ho tum anmol moti aankhon mein..
Labels:
chamak,
gaalon.naazuk
Thursday, May 26, 2011
CHALTE CHALTE....
RAITH PER CHALTE CHALTE NAYNO NE
KADMON KE NISHAN DEKHE.
SOCHA KAHIN AAS PAAS HOGE.
GHUMTE RAHE PER TUM NA MILE.
MAAUS HOKER HUM CHALTE RAHE.
HAWA KE JOKON NE KHA NAA HO UDAAS,
DEKHLE WOH TUJHE YAHI MILENGE.
PALKEIN JHUKA LI KE TUM TOH
DIL MEIN BAITHE MILE.
NAYANO NE KAHA.HAAYE RE NATKHAT DIL.
TUMNE TO HUME RHULA DIYA.
DIL NE KAHA KISNE KAHA
DHUNDO UNNE AAS PAAS.
WOH TO RAHTE HAIN HAR
PAL MERE SAATH.
Wednesday, May 25, 2011
Tuesday, May 24, 2011
Monday, May 23, 2011
Saturday, May 21, 2011
O PYARI APSARA....
Meri
aankhon ko bhaa gayi
Teri
kaali ghatano
Jaisi
kaali zulfein..
Teri
pyari pyari hansi dil pe
Mere
bijlee gira gayi.
O
pyari, apsara tum ne
Yeh
kaisa jadoo kiya...
Din mein
bi
Nazar
aata hun main,
Tere
pyaar ke
Nashe
mein dhuba dhuba.
Dost
kahte hain
Pyaar
ke chakker mein
Pagal
ho gaya hun..
Woh kya
jane kaisa
Nasha
hota hai mohabbat mein.
Friday, May 20, 2011
Haiiii Re Meri Aadat...
Yeh lo
ab yeh computer be
Mujhe bore karne laga.
Kal tak tha mera
Favourite time paas.
Ab yeh irritate karne laga.
Wah re mere mann
Ab bol kya kare hum.
Teen patti mein
Kabhi tha mazaa ab woh
Ho gaya hai badmashon ka addha.
Rummy kabhi acchi lagti thi ab
Woh be moody ho gayi.
computer laya nayi games
Per usko understand karne ka
Nahi hai mujh mein patience.
Haiii re abh main kya karu?
Doston ne naya site bataya
Facebook uska naam bataya.
Socha chalo kuch change sahi
Teen patton se writng he sahi.
Abh hum aagaye facebook per.
Kya bataye kahan hai
Mera dil aur jigar.
Sab ke haal-e-dil padhkar laga
Sare hain kisi janam ke
Bichchre hue friends n love birds.
Kuch waqt dil behl jayega
Chalo rah late hain is mahfil mein kuch pal...
Thursday, May 19, 2011
SOCH...
Har ek ki apni soch.
Soch ke socha kya socha..?
Sochne mein naa lage
Kodi ya paisa...
Socha apno ke liye,
Koi khush toh
Koi dukhi dikhe...
Socha doston k liye,
Toh kuch ruth se gaye...
Socha rishton ke liye toh
Tarazu ka palra ek uper ek
Niche jhukte mile...
Socha apne liye toh sab ne
Selfish samjha.
Sochu toh kya sochu jis
Mein sab ko khushi mile?
Isliye sochna hie
Chhod diya sab ke liye.
Soch ke socha kya socha..?
Sochne mein naa lage
Kodi ya paisa...
Socha apno ke liye,
Koi khush toh
Koi dukhi dikhe...
Socha doston k liye,
Toh kuch ruth se gaye...
Socha rishton ke liye toh
Tarazu ka palra ek uper ek
Niche jhukte mile...
Socha apne liye toh sab ne
Selfish samjha.
Sochu toh kya sochu jis
Mein sab ko khushi mile?
Isliye sochna hie
Chhod diya sab ke liye.
Wednesday, May 18, 2011
BHULE SE MIL JAOGI ...
Zindagi ke safar
mein
Saath chalte chalte tum mil gayi..
Kuch pal jo ruk gaye
Ek duje se ruth ke
Kaise thay woh pal jo
hum yuhi bichhar gaye.
hum yuhi bichhar gaye.
Naa phir tumne pukara aur
na murh ke dekha maine.
na murh ke dekha maine.
Per aaj bi hai us pal ka
Dard chhupa seene mein.
Aaj bi hai mujhko tujse
Mohabbat pahle jaisi.
Aaj bi aata hoon roz
Us jagah per tere liye.
Kabhi na kabhi toh
tum bhule se mil jaogi.
tum bhule se mil jaogi.
Per roz udaas hoke
Laut jata hoon main...
Tera khayal aata hai aaj bi
mere dil ko dastak dene..
mere dil ko dastak dene..
Toh tume bi satati hogi
Yaad meri har gari.
Kahin tum bi meri tarah
Aake laut toh nahi jati.
Labels:
BHICHHARED,
HUMESHA
Tera shingar karu..
Aaja
meri jaan,
Apne haathon se
Tera shingar karu.
Aasmaan per jitne sitare hain
Tere
aanchal mein laga du.
Chand
ko tere mathay ki
Bindiya
bana du.
Tere
hoton ko shaam ke
Suraj
ki lali se rang du.
Phoolon
ke ghanay banakar
Tujhe
sajaa du.
Aasmaan
bi tujhe dekh kar
Darti
se pyaar karega.
Thoda
sa mujh per bi jalega.
Aaja
tujhe mein apne
Dil
mein chupa lun
Jab
chahe palkein
Jhuka
ke tere deedar karu.
Milna Na Tha
Girl~boy=milna naa
tha
Toh bhulaya kyun?
Baatein naa karni
thi
Toh bithaya kyun?
Jab pata tha
Amanat hun kisi aur ki,
Aankhon mein chuppaya
kyun?
Boy~girl=jab se dekha
hai tujhe
Nasha sa hogaya hai.
Tujhse naa milun toh
Chain kahan milta hai.
Pal bhar teri jalak
Dekh leta hun
Toh hosh mein rehta hun.
Varna bin piye teri
tasveer
Aankhon mein
sajaye
Behosh rehta hun.
Labels:
BHULAYA,
CHUPPAYA .
JHUKI JHUKI SI...
Jhuki
jhuki si teri nazrein,
Mujhe
maar hi daalegi.
Teri
khil khilati hansi ne
Ghayal
kar diya dil mera.
Zaleem
ab toh ek nazar
Utha ke
idhar bhi dekh le,
Kab se
khade hain
Teri
raho mein.
Ek baar
hi meri
Aur bhool
se dekh le .
Tere
deedaar toh kar liye,
Par ek
baar bol de mujhse
Do bol
pyaar ke.
Kabse
aas lagaye hue hain.
Kabhi
toh mujh par bi
Nazrein
karam teri hogi.
Lagta
hai us din meri
Diwali
ya eid hogi.
Subscribe to:
Posts (Atom)