Tasveeron ko dekh
kar
Yaad aagaya beeta hua
waqt.
Yaadein tazaa kar
Gaya gujra hua kal.
Main un tasveeron mein
kho gayi.
Kabhi aayi hansi hoton
per toh,
Kabhi aaye ashq aankhon
se.
Kuch acchi yaadon ne
Behla diya dil mera.
Kho gayi un tasveeron
mein.
Phir se ek umang uthi
Dil mein ke ab bi main
hoon wohi.
Kyun na jee lun aaj main
Woh gujra hua kal.
Phir shayad aaye na aaye
yeh pal.
Ek naya josh aaya
phirse
Khud ko us kal mein
paya.
Jeene ki khushi
aayi
Hoton per laali chhayi.
Aankhen aaina
Dekh kar sharmayi.
Wah kya nikhar kar tu
Tasveer se bahar aayi.
Jaise kali, phool banker
aayi.
Waah re tasveer tune bi
Mujhe jeene ki raha
sikhai.