Jism raakh ho gaya,
Rooh fana ho gayi..
Eh zindagi tum kahan se aayi,
kahan chali gayi..
Tujhse juda har rishta
Kachche daage ki tarah tut gaya,
Tere naam-o-nishan bas
yaadein
Banke tasveeron mein reh
gaye..
Sab ke chehre pe muskaan
Aur khushiyaan dene wale,
Aaj bhi tujhe yaad
Karte hai har pal pal
mein..
Ab bhar aati hai aankhen
Aansuon se tujhe yaad karke..
Kaash tum laut ke aate hum sab
ke liye..
Vhiyast hai tere dost apne roz
ke kaam se,
Par aata hai woh pal shaam
ka
Jab mehsus karte Hai,
tera naa
hona unke beech.
Hum sab ne kho diya tujhe,
apne
apne rishte se,
Kaash tum aaj bhi hote beech
humare..
Pal pal hai dil rota mera,
Suhna ho gaya hai tere
bin,
Meri khushiyon ka gharonda..
Yaadien hai teri ab dil ke
jarokhe mein,
Kaise samjahein is dil ko
Ke ab tum is duniya mein nahi
rahe..