Waah kya zamana aa gaya..
Chhoton ko jaldise bada hona hai
Aur bhudon ko jawan rehna hai..
Umar ka takaza hai ya
Dilon ki khwaishon ka
Mann mein toofan utha hai..
Waqt ke chalte samay ki
Ginati nahi rukti..
Per mausam ke badalte rukh se
Jeevan mein halchal si hai uthti..
Kaisa zamana aa gaya..
Bachpan abhi khila bi nahi
Ke aakhon ne sapne
Jawani ke dekh liye..
Loot gaya balpan is
Computer ke chakkar mein..
Badal gayi bolne ki basha
Aadi hindi toh aadi angrezi mein..
Naa samajh paaye gharwale
Kya hua aaj kal ke chhora aur chhori ne..
Naa jane kitne jhoot ke mahal
Inke mann ne khade kiye..
Kho gaya hai mazaa
Wo khule aasmaan ke
Talay uchhal kudne ke..
Jab mila moka aake
Computer par haath japta..
Badal kar naam aur laga kar tasveer hero
Aur heroine ki khud ko hai pesh karte..
Ganton tak is par hai mast rehte
Bhool kar apno ko
Games & chat mein khush hote..
Kar baithe hain aanjaan se
Dosti bin dekhe ya milay..
Naa jane kitno ko jaan aur
Sweetheart hai roz bolte..
Ho gaya hai avishkaar sansar ka
Ya ho raha naash insaan ka..
Kuch accha hai kuch bura sa hai
Fayeda is computer ka..
Afsos..par nazar aata hai aaj
Bachcha bachcha iske jaal mein phansa hua..