Mazhab nahi sikhata insaniyat ko
Nafrat ke aag laga
kar jalao..
Phir kyun karte ho
mazhab ko
Badnaam de kar
jaat paat ke naam..
Kyun bhulte ho aik
hie hai zameen
Aik hie hai
aasmaan..
Aik hie rang
hai
Paani aur khoon
ka..
Aik chand aur
suraj
Bi hai aik is
srishti mein..
Phir kyun laga ke
aag
Khaak mein ho
milate insaniyat ko..
Jo kabhi tera apna naa tha..
Phir kyun lal
peela ho raha hai
Usse mazhab ka
naam de kar
Tabah karne ke
liye..
Jisse kabhi tumne
racha hie nahi..
Yeh kaisi mohabbat
hai,
Eh insaan teri us
neeli chhatri wale se
Ke tum uski
sikhayi hui insaaniyat hie
Bhool gaya rakshas
ko dekh kar..