Mili zindagi insaan ki toh jude
Kai rishte alag alag naam se..
Sab thay apne jab
Haath aur pair thay nanhe se..
Kabhi koi to kabhi koi hota
Saath mein mere humesha..
Jab se lage zindagi ko samajhne
Tab se kai baar hue hain dil aur mann se akele..
Mile kai dosti ke naam pe saathi par
Koi aaj tak naa chala saath meri manzil tak..
Sab mile apne ban ke par
Dilse na hua koi apna aaj tak..
Kabhi jo apne thay woh bi kisi wajah se
Chhut gaye kisi manzil par..
Sochta hun kya hai yeh sab chakkar...
Jo mein hun itna uljha hua sa
Bheed mein bi aaj main hun akela sa..
Kya yehi hai zindagi ka safar
Jisko gadde ki bhanti dho kar,
Roh kar khich raha hun main ab tak..
Kisko khojti hai yeh meri nazar.
Jab janta hun ke apna saaya hi
Saath nahi hota andhre ko dekh kar,
Toh matti ke putlon ka kya dosh..