Tuesday, October 30, 2012

Na jane kyun hai dil udaas..


Na jane kyun hai dil udaas.. 
Yaad aayi hai kisi ki khaas..
Wo uski chhoti chhoti si baat..
Har pal thi jiske chehre pe muskurahat..
Wo jane kyun aaj aaya hai itna yaad..
Kis se puchhu, kahan dhundu 
usse a dil tu hi bata..
Jo khoya meri aankhon se 
nazron ke paas.. 
Aaj dil chahata hai baar baar ke 
Aa jaye bas wo ab mere paas..



Tum apni aagosh mein..



Tum apni aagosh mein 
Jab sama lete ho mujhe..
Aur main pyaar mein 
khil ke sunhari si tumhari ho jati hoon..
jab hoti hoon main tumse juda to 
main bikhri si kaali raat nazar aati hoon..
Tumhari judaai ke gham mein
yunhi andhre mein sulagti rehti hoon..
na jane kitne pal aur lamhe...
Bas tumhare aane wale 
Kal ke intezaar mein..
tum phir samet loge mujhe 
aake apni bahon mein..  




Monday, October 29, 2012

Mili zindagi insaan ki toh...







Mili zindagi insaan ki toh jude 
Kai rishte alag alag naam se..
Sab thay apne jab 
Haath aur pair thay nanhe se.. 
Kabhi koi to kabhi koi hota 
Saath mein mere humesha..
Jab se lage zindagi ko samajhne 
Tab se kai baar hue hain dil aur mann se akele.. 
Mile kai dosti ke naam pe saathi par 
Koi aaj tak naa chala saath meri manzil tak..
Sab mile apne ban ke par 
Dilse na hua koi apna aaj tak..
Kabhi jo apne thay woh bi kisi wajah se 
Chhut gaye kisi manzil par..
Sochta hun kya hai yeh sab chakkar...
Jo mein hun itna uljha hua sa 
Bheed mein bi aaj main hun akela sa.. 
Kya yehi hai zindagi ka safar 
Jisko gadde ki bhanti dho kar, 
Roh kar khich raha hun main ab tak..
Kisko khojti hai yeh meri nazar.
Jab janta hun ke apna saaya hi 
Saath nahi hota andhre ko dekh kar, 
Toh matti ke putlon ka kya dosh..



Sunday, October 28, 2012

Haal-e-mohabbat ka..


O dil-e-jigar..
O noor-e-nazar..
Kya sunnay tumhe hum 
Haal-e-mohabbat ka..
Mehboob ki mehndi ka 
Rang na sajja 
Meri hatheli pe chokha. 
Chaha tha khayalon mein jisko 
Wo toh kisi aur ke 
Maang ka sindhoor nikla..
Badi aarzoo thi ke 
Kuch pal saath jee lun uske..
Par wo to kisi aur ka humrahi ho gaya..

Intezaar Eid ke chand ka..


Ankhon ko Jaise rehta hai 
Intezaar Eid ke chand ka..
Aaj bahut mannat ke baad mujhe bi 
Mil gaya deedar dil-e-yaar da..
Tum badri mein chuppa hua chand ho,
Ya ho chaudvin ka chand..
Jo aaj aasman mein 
Nazar aaya hai chamkta hua..
Aao chuppa du tumhein 
Is dil mein humesha ke liye 
Jahan bas dekhun main tumhein 
Apne rooh se palkein utha ke.... 








Friday, October 26, 2012

Chand akela hai...


Chand akela hai par uske
Aas paas taaron ka mela hai.
Raat akeli hai par charon taraf
Uske tanhai thehri hai..
Udaas udaas sa hai dil mera 
Jaise jal raha holay se aag ki tarah..
Kisse puchun main uska pata..
Roz nazrein jo karti hai jiska intezaar
Ya Rabba..usko main dhoondu kahan.

Teri tasveer se behlayein..


Kab tak is nadan dil ko 
Teri tasveer se behlayein..
Jo pal pal mein teri yaadon ke 
Samundar mein dhoob jaye..
Kaise sambhale hum khud ko jo 
Teri jeel si aankhon ke 
Nashe mein hai khoya hua..
Ab to tu jaan le kitna hun mein 
Aaj bi tere bin akela..




                                                          

Thursday, October 25, 2012

Aaj phir wohi shaam aayi..



Aaj phir wohi shaam aayi... 
Teri yaadon ko saath layi..
Aaye wo pal yaad jo kabhi thi tum meri..
Tere bin ab tanha tanha si zindagi meri . 
Sochta hun jitna tumhein, 
Utna hi kho jata hoon main,
Aaj bi tere hi khayalon mein..

Mohabbat mein..






Mohabbat mein pholon ki
Sej na sajja sake..
Toh aansuon ke haar kyun
bichha rahe ho mere janaze par..
Mausam ki barkha se na bheeg kabhi
Per teri ankhiyon ki barkha se 
bheeg gaye mere bi nayan.. 

Tuesday, October 23, 2012

Jane wale chale jate hain..



Jane wale chale jate hain..
Apni yaadein dilon mein sanjo ke..
Jab jab aati hai unko hamari yaad, 
Toh dil ke kone se dard ban ke 
Aankhon se chhalak ke aa jate hain bahar..
Pal pal ka tha saath kab kho gaya pata nahi.. 
Ab aati hai unki yaadein per wo nahi..
Phir bi na jane kyun rehta hai intezaar 
in khuli palkon ko unka har baar.. 
Shayad aaj bi wo mujhe bhula hi nahi..

Monday, October 22, 2012

Dil tha mera aisa parinda..


Dil tha mera aisa parinda
Jo naa jane kis aur
Pankh phela ke udd jata..
Sochta tha bahut kuch per
Jab se aaya hai khayal tera..
Bebas hoke chupke se
Kone mein baith jata hai..
Yeh teri mohabbat thi ya
Tera deewana pan jo
Tere jane ke baad bi
Tere dilse juda hi nahi
Ho pati hai meri rooh..



Kabhi khule aasman ke Niche..


Dilon mein rehne wale,
Kabhi khule aasman ke
Niche bi aake mil..
Dekh kaise jee rahe hai
Aaj bi hum tere bin..
Tum to chhup gaye ho
Badri ka chand ban ke..
Per taras ke chhalak gaye
Mere nayan  aaj bi
Tera intezaar karte..

Thursday, October 18, 2012

Aaj suji hai shararat is..


Aaj suji hai shararat is nadan dil ko...
Chala hai mohabbat ka dum bharne..
Badi dher se hai machal raha
Aaj to usko I L U bol de..
Bahut dher se hai muskura ra,
Mann hi mann alfaazon ki
Jod tod mein ulhja raha..
Aankhon mein masti aur
Hoton ki muskaan,
Chhuppaye nahi chhupti..
Yeh gulabi chehre pe
Khuli ishq ki kitaab..
Per wo hai kahan,
Jiska hai intezaar
In aankhon ko abi..
Ya main hi hui deewani uski
Jo khud hi uske khayalon mein
Ja rahi hun dhoobti..
Yeh dil bi pagal hai jo karta hai
Shararat ajeeb ajeeb.. ;)

Pal bhar mein tumne..


Pal bhar mein tumne chur chur
Kar diye mere dil ke mahal..
Mujhe apnana naa tha toh bata dete..
Yun dillagi karke mera dil toh na tod te..
Mana kal tak tumhari
Nazar mein thay hum khaas
Jab aaya pal saath dene ka toh
Thaam liye kisi aur ke haath..
Tumne pher diye mujhse apne nayan..

Wednesday, October 17, 2012

Itna na mujhe tu pyaar..


Itna na mujhe tu pyaar kar
na tu mujhe itna yaad kar.. 
Seene mein mere uth raha hai dard..
Bechain ho jati hai dhadkane meri
Aur tadap ne lagti hain saanse bi ab..
 sochte hain kaise jeeyenge 
hum tere bagair ek pal..

Tuesday, October 16, 2012

Waah re ameer..


Kitna sukh aur anand tha
Jab main sab ke liye ek tha..
Waah re ameer..
Pathar aur mitti ka tha main to
Teri pyaar se machal jata tha..
Gareeb ki joli mein uski pukar se
Pigal ke sama jata tha..
Jabse tumne mujhe
Sone ke siyasan aur
Heere ke mukut se nawaza hai
Main to tera hi hoke reh gaya…
Ameer ke gale se lekar
Anghutti mein mujhe sajaya hai..
Gar mein mujhe alag alag 
roop mein bithaya hai..
Ab main to bas puja ke liye kam
Show piece jyada dikhta hoon... 
   bas ab teri hie aawaz sunta hoon..


Halki halki si uth rahi..



 Halki halki si uth rahi hai 
Dard ki tarange seene mein..
jaise koi khaas kar raha hai yaad,
Ya hai yeh koi bhulava uska 
Mujhse milne ka akele mein..
lagta hai tanha sa ho gaya hai wo 
Mere bin is duniya ke melay mein..



Ek woh shaam thi


Ek woh shaam thi aur
Ek yeh shaam hai..
Kabhi milte thay humse pyaar se
Aaj anjaane se ban baithe hain..
Kabhi Alfaazon ka
sara lekar humse bolte thay..
Aaj humse hi aankhen 
milane se darte hain...

Monday, October 15, 2012

tum ek baar aa to jao...


tum ek baar aa to jao 
in nazron ke saaye mein..
palkon se utha ke 
dil mein chupa lenge 
tumhe zamane se..

Agar bewafai karne ki..



Agar bewafai karne ki koi saza hoti toh 
Aankhen yun kabhi naa roti..
Dil na yun tadapte tanhaiyon mein 
Mohabbat ke gham se chhalakte hue.. 
naa hote mohabbat ke zakhm itne gehre jo 
mehboob se mile dard se duniya se dur rehte..

Khushiyan to gehron se...


Khushiyan to gehron se
Milti hain udhar kuch palon ke liye..
Yeh dard hi toh apna hai jo
Tanhai mein bi rehta hai saath 
Gham ka matam manane ke liye..

Hai wo har lamha mere saath..


Aaj bi hai wo har lamha mere saath
Bas nazar na aa saka
Aankhon ke aas paas..
Lafzon se usse mana na sake
Isliye ashqon ko bha diya..
Palkein jhuki bi toh bas
Zubaan ne uska naam liya.
Wo dur gaya nazron se..
Per mere dil se na jaa saka..

Friday, October 12, 2012

Abhi na karo jane ki baat..



                         Abhi abhi to aaye ho aur abhi na karo jane ki baat..
Abhi abhi toh shuru hui hai tumse mulakaat ..
Thehro to sahi kuch pal humare paas..
Abhi abhi toh aayi hai shaam kar ke solah shingar..
Abhi abhi toh aayi ho tum saj ke bahar..
Abhi toh dekha nahi tumhe utha kar nazar ek baar..
Ab to samjho tum mere dil ki baat..
Jee to lene do mujhe kuch pal tumhare saath..
Abhi abhi na karo tum dur jane ki baat..


Kagaz mein Chhap ke reh gaya..



Jo kal tha mera, woh aaj kagaz mein 
Chhap ke reh gaya..
Jo aaj hai, wo yaadon mein 
Simat raha hai..
Agale pal mein pata nahi,
Kisi ko MAIN yaad hun bi ke nahi..
Bas kagaz ki tasveer mein 
Yaad ban ke kisi ke dil or 
kisi ke Deewar pe latak gayi..


Thursday, October 11, 2012

Main umar mein badhti...


Main umar mein badhti jaa rahi ya
waqt badalta gaya karvat pe karvat..
badalti gayi  main apne
soch aur vichaar mein ya
mausam ki rut badalti rahi,
har baar mera mann..
kabhi kabhi khele kai khel 
dhoop aur chhaon ne mere dil ke sangh..
kai baar subah aur shaam ne 
uljha ke kar diya udaas..
waqt aur kismat ka diya wo dard
mera na tha per mera hoke rehgaya 
tamaam umar mere saath....












Waqt ko dekha hai badalte..AMITABH. B JI..


Waqt ko dekha hai badalte..
Bachpan se khelta raha 
aankh micholi mujhse..
Har baar odh diya mujh pe 
naye kirdar ka chehra..
Khud dur baith ke nachaya mujhe 
kabhi hansaya to kabhi rulaya mujhe...
Jod ta gaya har baar 
naya rishta kisi na kiska mujhse..
Afsos.. Laut ke na aaya mera wo kal,
jo maine kho diya bachpan se aaj tak 
aankhon ko bandh karte karte..

Wednesday, October 10, 2012

Apna mehboob bana dun..


Meri kismat ki lakeeron mein
Wo tumhe likh na saka..
Meri dhadkon se tumhe wo jod na saka..
Apne dil mein tumhe bitha dun.
Aaja tujhe saanson mein mere chhupa dun
Apne haathon mein saja ke
Aaja tujhe apna mehboob bana dun..


Kabhi to bin bole...


Kabhi to bin bole dil ki baat samjho..
Aankhon ne jhukaya hai nazron ko samjho..
Har baar alfaaz mohabbat ko
Bayaan nahi kar sakte..
Lafzon ki mala ko
Na yun mann mein tatolo..
Kabhi toh kuch bin kehe bi samjho..

Tuesday, October 9, 2012

Abi aankhen bandh bi..



Abi aankhen bandh bi naa hui meri 
Aur saath chhod ke chal diya...
Tha tera vaada umar bhar ka mujhse 
Jaise saanso se dhadkan ka 
Tum toh nazrein pher ke nikal gaye 
Jaise mujh se pyaar na raha..


Aaj hai dil bahut udaas...



Aaj hai dil bahut udaas 
Kisi ne tod diye hai dil ke kuch taar..
Uth raha hai dard ka toofan 
Baras rahi hai aankhon se barsaat..
Aise lag raha hai jaise ho gayi rooh juda
Dil se bahut arse ke baad...


Monday, October 8, 2012

Aaj wo hai kahan..





Kal tak jo karte thay intezaar is dil ka
Aaj wo hai kahan..
Jiske aane se aati thi bahar
Aaj wo chhupe hain kahan..
dil ke paas hoke bi 
nazron se dur lagne lage..
jaise badalon mein chhupa chand 
taaron se luka chhuppi khele..

Sunday, October 7, 2012

Ik arsaa bheet gaya...


Ik arsaa bheet gaya duaa na salaam hua..
Faasla itna hua jaise dharti se aasmaan dur hua..
Ranjeeshe hi thi jo do dilon ko tanha kar gayi..
Ab yaadon ke samundar mein
Tere khayal dharkte hain..
Lagta hai jaise tumhare dil ke
Kisi kone mein aaj bi hum rehte hain.. 

Saturday, October 6, 2012

Yunhi nazron se manaoge..


Kab tak yunhi nazron se manaoge..
Dil mein jo baat hai zubaan pe kab laoge..
B-taal hue jaa rahi hai meri dhadkane aur
Tum muskura rahe ho mann hi mann.

Friday, October 5, 2012

Raas to ek bahana tha..


Raas to ek bahana tha bas
Khud ko tere nazdeek pana tha..
Yun teri bahon mein lehrana
Hume deewana kar gaya..
Yun meri nazron se dil ko churana
Teri bi aashqi bayaan kar gaya..


Thursday, October 4, 2012

...Yeh shararat bhari nazron ko..



Humara udaas hona kisi ko raas na aaya 
Socha chalo aaj thora sa khud ko badal de....
Pal do pal apne lafzon ko 
Mohabbat ke nashe mein dhoobo de..
Yeh shararat bhari nazron ko na palkon se chhupa 
Aaj mohabbat ki chahaton mein khud ko lapet le..
Apne chehre ki rangat ko aur na laal kar 
Dil mein jo hai aaj labon se ikraar kar..
mere mehboob bas pyaar pe mere vishwas kar..

Kabhi teri yaadon se..




Kabhi teri yaadon se tanhai mein 
batiya ke muskura lete thay akele...
Ab wo bi churati hai mujhse apni nazrein..
Dhundlate gaye wo manzar..
Dhundlati gayi nazron se wo sadak..
Jahan kabhi ghanton tak 
rehte thay tere sangh hum..

Wednesday, October 3, 2012

Teri yaad chali aayi...


Khayalon mein 
teri yaad chali aayi...
Jitna bi chahun bhulna 
bhool na paayi..
Kho jati hai nazrein aaj bi
aake phir ussi morh pe...
Jahan bas teri kuch bheegi hui yaadein 
har baar ashq ban ke chhalak aayi.. 

Kuch palon se thay hum...


Kuch palon se thay hum
Ghum kisi aur jahan mein
Na tha pata yahan
Milte hai log chehre pe
Naqaab pehne..
Badli badli thi inki basha...
Bhool gaye hain sab
Bhatak gaye hain sab
Dekh ke is duniya ki
Chamak dhamak..
Bhool gaye hain wo
Apne sare sanskar..
Bhool gaye chote bade ka lihaaz..
Ab wo na mann ki shanti hai
Na wo sukun unke paas..
Tapay aur barke rehte hain
Chhoti chhoti baaton pe sab ke saath..
Kya hogaya hai in naujawano ko 
har pal rehti hai zubaan pe gaali galoch..
Kahan le jaa rahe hain apne aapko..
Taraki kahan hui hai kisi ki..
Dhoobta ja raha kisi na kisi
Nashe mein yeh aane wali pidhi..
Vishwas na ho to dekho jaa kar internet pe..
Badal gayi hai kitni jaldi aaj inki A B C D ki meaning..