Naa karo baatein aisi jo nafrat ubhar
aaye..
Bandh karo ab yeh
apna nazariya
Hindu muslim aur
yeh jaat paat ka..
Kya mila aaj tak
yeh aag laga kar..
Barbad ho gaye
insaan,
Insaan ka lahoo
bha kar..
Padh leekh ke bi
aisi baatein karte ho..
Anpadh aur gawar
si soch rakhte ho..
Kitna sitam
dhaaoge dharti maa per.
Kyun ujharte
ho suhaagan ke suhaag,
Kyun karte ho
maasum bachon ko anaath.
Kya hassil hua aaj tak yeh nafrat ki aag
laga ke
Jo aaj bi jala baithe ho
dil mein behd
baav ki chitta
kisi lalach mein aa kar.
Mil jati nafrat ki maut saste mein..
Us maa se puchho kitna dard hua usse
Ek zindagi ko janam dene mein..
Jaago insaan ki jaat ho tum sab
Kyun janwaar si karte ho harqat..
Bandh karo yeh khel barbadi ka..
Jiske saath ladai kar rahe ho
Wo bi hai tumhari tarah lal kisi mai ka..