Dekho to kaise banaya insaan..
ismein dhadkano ka lagaya alaram.
saanso ki dor se nachaya..
pyaas bukh aur neendh se jod ke
ek machine bana ke tic tic kar chalaya..
kabhi khushi to kabhi gham de kar aazmaya..
kabhi dukho ki aandhiyon mein dhuboya..
chahat aur khuwaaishon ke
rang dikhakar lalchaya..
bechara insaan haddi aur
chamre se bana kab tak chal pata..
din se raat ..subh se shaam..bas
jab thak gaya to dil ko pakad liya..
nachna tab jake uska khatam hua..
aik bulbula sa tha pani ka
hawa mein udh raha
fut ke zameen pe bikhar gaya...
kisko pata wo kahan gaya..
kuch pal ki yaadein
apno ke dil mein sanjho gaya..