Yeh haddi aur maas ka
makaan apna nahi hai..
makaan apna nahi hai..
jisko saj sanwar ke phirte hain..
wo bi kiraye ka mila.
jisko kiraya hai malik ki bandagi..
per us mein bi dokha kar baithay..
aisse dost mile ke
(lalach,jhoot, makari aur maya.)
apna wajood bhool gaye.
batak gaye apni manzil se.
phans gaye fir chaurasi lakh
janamo ke chakra mein.
jab pata hai insaan ko
kuch apna nahi hai
fir bi batak raha hai
mera mera kar ke.
jaal bhun raha hai
maya aur lalach ke saath
apni aankhen mundh ke..
na kuch saath aaya
na kuch saath jayega.
jaag re bande kar le
malik ki kuch bandagi ke
jab jaye is jahan se to
malik ke haath thaam ke saath jaye..