Sunday, December 30, 2012

Kyun ho tum gumsum si..

Kyun ho tum gumsum si ..
Yeh chhayi hai tere 
Chehre pe kaisi udasi..
Kis ke khayalon mein 
Rehti ho har pal tum khoyi si ..
Kyun duadti hain samundar ki leharein 
Teri jeel si gheri aankhon mein..
Kya kho aayi ho kisi ke
Pehlu mein tum apni muskuratein.








Jate jate saal 2012 tod gaya dil..



Jate jate saal 2012 tod gaya dil humara..
Loot gaya woh muskaan de ke dard dil ka gehra..
Num hoti hai aankhen soch ke 
Kahan aake khade hain narak mein,
Jahan nahi hai surakhshit koi beti aur behan...
Loot te hain izzat din dhare
Jahan nahi hai koi kanoon jo saath nibhaye..
Koi toh samajhaye naye dampati ko 
Kaunsi aulad ki khwaish dil mein jaga le..
Beti ya ho beta ab lagne laga hai 
Darr sab ke mann mein aisa..
Duniya mein bhare hain 
Insaan ke naqab mein haiwan aur darinde..
Sharam se neeche ho jata hai sar maa baap ka 
jab beta ban jata hai putt se kaput..
Ya rabba..ab toh is kalyug se mukti de kar 
2013 mein satyug ke duwaar khol de..
La de naya savera 
Jahan ho RAM aur RAHEEM sa beta..AAMEEN..

Saturday, December 29, 2012

Sword of Injustice...

Wakeup dude..wake frnds..
Their are many sisters n daughters 
Still scared of rape n kidnap..
Is law under control of culprits..
Or it doesn't have courage to punish 
mental, psycho & maniac till today..
Why are we feeling sorry & sad today..
We lost an innocent human being or 
Still thinking about how to punish 
those culprits with our own hands..


Apni haiwanyat se daag daag..

Janma tha main bi aurat ki kokh se dulara sa..
Nazar padi uss pe to maa pukara tha..
Tha tara main uski aankhon ka..
Bigarta gaya galat sangat aur
Galat raahon pe banke shaitaan sa..
Sambhal na saka main khud ko is paap se..
Batak ta raha main din aur raat mein..
Thi yeh kaisi bhuk meri, 
Jo karta gaya main qatl 
Har baar kitno ke armaano ka..
Tha yeh kaisa junoon mera 
Har ladki pe marta dil mera..
Afsos hua hai mujhe apni galati pe aaj 
Jis maa ne diya mujhe itna laad pyaar 
Maine uske aanchal ko kar baitha 
Apni haiwanyat se daag daag..

Friday, December 28, 2012

am d girl of 21st century..

heyyy.. am d girl of 21st century..
its my birth rite to live scare free life..
so pls...dont put more pressure 
upon my freedom..
I  know how to protect 
myself from wild animals.. 
so cool n relax..dude.. 

Thursday, December 27, 2012

Sun o meri jana..

Sun o meri jana..
Kyun ho tum itni gumsum si.
Kya khoj ti hai ab yeh teri nazar..
Aake nazdeek is jeel per..
kyun hai ab chehre pe udaasi 
aur aankhon mein ashq tere..
kya ab bi nahi mila tere dil ko 
chain mujhse bichhar ke....


Wednesday, December 26, 2012

Sab mil gaya is reth ke...

Sare gilay-shikve aur woh ruthna manana, 
 kabhi thi jo narazgi tumse 
Ab woh bi humne bhula di hai.. 
Dekho to sab mil gaya is reth ke seene mein 
Kuch udaas mann aur ashqon ke saath...
Ab to aajao laut ke tum mere paas..

Ajeeb hai yeh rishta..


Ajeeb hai yeh pyaar ka rishta.. 
Kuch lafzon se hie ho gaya dil aur dhadkan ka..
Khayal aur khwabon mein thay ghum kabhi ek duje ke...
Pata na chala kab hua waqt bichharne ka..
Khatam ho gayi mudat saanso ki dhadkano se..
Tut gayi dhadkane dil ki,  tut gayi mala alfazon ki.. 
Tut ke bikhar gaya mahal meri khushiyon ka..
Ab jee rahe hain tanha bas 
tumhari yaadon ke saaye mein har lamha..

Tuesday, December 25, 2012

Jo main janti...


Jo main janti bin bole chale jaoge toh
Hoti nahi tumse ek pal bi juda..
Kahan ho tum ab kis se puchhu 
Kyun ho gaya hai 
Itna sanata sa mere dil ke yahan...
Lagta hai kho diya wo haq bi ab maine 
Tumse ruthne aur tumhe mana ne ka..
Aaj bi hai dard dil mein ke 
Ab kabhi nahi paa sakenge 
Tumhe apni zindagi mein dobara..







Zindagi apne panne..



Zindagi apne panne 
Kitaab mein Palat ti gayi ya
 Lamhe palon mein
Samet te gaye yaad bankar..
Gujarta jaa raha hai waqt jaldi se ya
Main hi dil ki Deewaron se
Bahar nikli nahi ab tak..
Sab toh wohi hai aas paas mere
Bas tum hi nazar nahi
Aa rahe mujhe kahin per...



















Saturday, December 22, 2012

aaya hai rakshas Odhke insaan ka avtaar..

Sunke subah aur shaam  
Manzire ke sur aur taal...
Main aayi hoon tere duwaar..
Ab tum hi rakho
Bansuri wale nari ki laaj..
Chhaya hai teri
Nagri mein ghor andhkar
Loot raha hai nar
Pehn ke hewaan ka nakab..
Kyun ho raha hai ab
Teri nagri mein itna sara paap..
Jaago jaago mohan pyare
Murli wale loot raha hai
Koi teri gopiyon ki laaj.
Kyun nahi sunayi di tumhe
Ab tak kisi nari ki pukar..
Bandh kara do ab
Yeh besharami ka raas
Jahan loote baap apni beti ki laaj
Aur kare ameer gareeb pe atyachaar..
Bahut hua dard dilko dekh ke
Phir se aaya hai rakshas 
Odhke insaan ka avtaar..

Friday, December 21, 2012

21-12-2012..


Anni hai ek din sab ke heisse mein maut,
Phir kyun darta hai is din se...
Maut ka matlab hai shaant hona,
Tum kyun darr rahe ho sabko jata jata kar..
Jante hain sab, jana hai is jahan se bi ek din,
Pata nahi hai woh din aur woh pal..
Bas jo yahan sab hain ruke isliye ke 
abi apni Jagah nahi hai khali udhar...
Hai lambi kattar dono taraf se
Kisi ne aana hai kisi ne hai jana..
Bas intezaar hai to kaal ki gari aur
Vidaata ki qalam ka farmana..
Ah insaan bas ek din aaye thay 
toh ek din is jahan sabhi ko hai jana..

Wednesday, December 19, 2012

Agar jante ki..


Agar jante ki dooriyaan hongi 
naseeb Mehboob se, 
toh hum mohabbat naa karte..
Naa gujarte us gali se
Jahan mehboob ka intezaar rehta
Apne aankhon mein ashkon se..
Ya rabba yeh kaisa hai silsila mohabbat ka 
Ya hai waqt ka pehra meri mohabbat pe 
Jo main tadapti hoon milne ko 
Aur woh taras ta hai 
ek jhalak mere deedar ke liye....

Ansuon ke moti Bikhare..


Dil ke dard se palkein bheeg gayi..
Ansuon ke moti 
Bikhare toh aankhein roh di..
Sambhale bi na thay abi khud ko ke 
Siskiyon ki awaaz ghunj uthi..
Palat kar dekha toh meri 
Zindagi se rooh bichar gayi..

Jo rishtay aankhon se..


Jo rishtay aankhon se 
Nazar aate hain anmol 
Aur dil ki dhadkano se jude..
Kyun tadap ke bikhar jate hain
Alfaazon ke teer se..
tab roti hain aankhen 
aur hota hai dil udaas..
phir mann kehta hai 
kyun hai tujko itni laalach 
un cheezein ki jo hain 
be-jaan si tere aas paas..
jab sunte hai har kisiko 
muqammal jahan nahi milta..
phir bi tu kyun 
chhoti chhoti baaton se apno se ladta.. 
Chha jate hain dard ke saaye aas paas
Jab tut ke ho jate dil taar taar..
Kyun lagi hai yeh nafrat ki aag,
Jab jante hain kuch bi
Nahi jata is jahan se apne saath..
Phir bi ladte hain hum tum
Kisi na kisi baat pe 
anjaane se apno ke saath..

waqt ne loot liya...



Maa ke aanchal se judi..
Baba ke aagan mein palli..
Bhaiyon ke saath thi kheli kudi..
Din aaya aisa jo main chali piya ki gali...
Kabhi tha anjaan sa woh
Kuch pal mein ho gaya meri jaan..
Bandan tha aisa pyaar ka
Bhool gayi babul ke gar ka darwaza..
Hui zindagi aisi khushal
Milay pyare se laal..
Waqt tha pehredar 
Bete hue padh likh ke jawan..
Abi hue bi nahi poore khuwab
Ke waqt ne loot liya mera suhaag..
Yeh kaisa hai safar mera jo 
Har mor pe badal gaya saathi mera..
Kal tak jinko pal poskar bada kiya 
Aaj wohi hai ab sahara mera..(bhai aur bete)..
Kaisi hai yeh waqt ki gari, 
Jo badalti gayi mera har pal aur lamha.. 
Par na badal saki Maut ka muh,
Jo meri jaan ko Cheen ke le gayi 
Mujhse dur humesha ke liye.. :(






Kahan dhoondu tujhe main...



Kahan dhoondu tujhe main
Kis se puchu main tera pata...
Pal pal khojti hai 
Jo nazrein tumhe yahan wahan..
Aankhon ko kaise 
Samjhaun main yeh bata..
Hai udaas bahut dil 
Jo rota hai har lamha..
Rukte nahi ashq aur 
Chup hoti nahi meri siskiyaan..
Kis jahan chale gaye ho tum 
Bata do hum hi aajaye wahan..

Thursday, November 8, 2012

Mera har lamha..


Mera har lamha lamha tha tere liye udas..
Meri har dhadkan ko rehta tha tera intezaar.. 
Tum bin tha main duniya ki 
Bheed mein bi tanha sa..
Bas arzoo thi dil ko tum
Laut ke aaogi kabhi na kabhi..
Aayi bi ho samne toh jaise 
Badlon se suraj ki kirne chamakti hui..
Uff dekh to sakta hoon par 
Thaam nahi sakta main ab tujhe in haathon se..

Tuesday, October 30, 2012

Na jane kyun hai dil udaas..


Na jane kyun hai dil udaas.. 
Yaad aayi hai kisi ki khaas..
Wo uski chhoti chhoti si baat..
Har pal thi jiske chehre pe muskurahat..
Wo jane kyun aaj aaya hai itna yaad..
Kis se puchhu, kahan dhundu 
usse a dil tu hi bata..
Jo khoya meri aankhon se 
nazron ke paas.. 
Aaj dil chahata hai baar baar ke 
Aa jaye bas wo ab mere paas..



Tum apni aagosh mein..



Tum apni aagosh mein 
Jab sama lete ho mujhe..
Aur main pyaar mein 
khil ke sunhari si tumhari ho jati hoon..
jab hoti hoon main tumse juda to 
main bikhri si kaali raat nazar aati hoon..
Tumhari judaai ke gham mein
yunhi andhre mein sulagti rehti hoon..
na jane kitne pal aur lamhe...
Bas tumhare aane wale 
Kal ke intezaar mein..
tum phir samet loge mujhe 
aake apni bahon mein..  




Monday, October 29, 2012

Mili zindagi insaan ki toh...







Mili zindagi insaan ki toh jude 
Kai rishte alag alag naam se..
Sab thay apne jab 
Haath aur pair thay nanhe se.. 
Kabhi koi to kabhi koi hota 
Saath mein mere humesha..
Jab se lage zindagi ko samajhne 
Tab se kai baar hue hain dil aur mann se akele.. 
Mile kai dosti ke naam pe saathi par 
Koi aaj tak naa chala saath meri manzil tak..
Sab mile apne ban ke par 
Dilse na hua koi apna aaj tak..
Kabhi jo apne thay woh bi kisi wajah se 
Chhut gaye kisi manzil par..
Sochta hun kya hai yeh sab chakkar...
Jo mein hun itna uljha hua sa 
Bheed mein bi aaj main hun akela sa.. 
Kya yehi hai zindagi ka safar 
Jisko gadde ki bhanti dho kar, 
Roh kar khich raha hun main ab tak..
Kisko khojti hai yeh meri nazar.
Jab janta hun ke apna saaya hi 
Saath nahi hota andhre ko dekh kar, 
Toh matti ke putlon ka kya dosh..



Sunday, October 28, 2012

Haal-e-mohabbat ka..


O dil-e-jigar..
O noor-e-nazar..
Kya sunnay tumhe hum 
Haal-e-mohabbat ka..
Mehboob ki mehndi ka 
Rang na sajja 
Meri hatheli pe chokha. 
Chaha tha khayalon mein jisko 
Wo toh kisi aur ke 
Maang ka sindhoor nikla..
Badi aarzoo thi ke 
Kuch pal saath jee lun uske..
Par wo to kisi aur ka humrahi ho gaya..

Intezaar Eid ke chand ka..


Ankhon ko Jaise rehta hai 
Intezaar Eid ke chand ka..
Aaj bahut mannat ke baad mujhe bi 
Mil gaya deedar dil-e-yaar da..
Tum badri mein chuppa hua chand ho,
Ya ho chaudvin ka chand..
Jo aaj aasman mein 
Nazar aaya hai chamkta hua..
Aao chuppa du tumhein 
Is dil mein humesha ke liye 
Jahan bas dekhun main tumhein 
Apne rooh se palkein utha ke.... 








Friday, October 26, 2012

Chand akela hai...


Chand akela hai par uske
Aas paas taaron ka mela hai.
Raat akeli hai par charon taraf
Uske tanhai thehri hai..
Udaas udaas sa hai dil mera 
Jaise jal raha holay se aag ki tarah..
Kisse puchun main uska pata..
Roz nazrein jo karti hai jiska intezaar
Ya Rabba..usko main dhoondu kahan.

Teri tasveer se behlayein..


Kab tak is nadan dil ko 
Teri tasveer se behlayein..
Jo pal pal mein teri yaadon ke 
Samundar mein dhoob jaye..
Kaise sambhale hum khud ko jo 
Teri jeel si aankhon ke 
Nashe mein hai khoya hua..
Ab to tu jaan le kitna hun mein 
Aaj bi tere bin akela..




                                                          

Thursday, October 25, 2012

Aaj phir wohi shaam aayi..



Aaj phir wohi shaam aayi... 
Teri yaadon ko saath layi..
Aaye wo pal yaad jo kabhi thi tum meri..
Tere bin ab tanha tanha si zindagi meri . 
Sochta hun jitna tumhein, 
Utna hi kho jata hoon main,
Aaj bi tere hi khayalon mein..

Mohabbat mein..






Mohabbat mein pholon ki
Sej na sajja sake..
Toh aansuon ke haar kyun
bichha rahe ho mere janaze par..
Mausam ki barkha se na bheeg kabhi
Per teri ankhiyon ki barkha se 
bheeg gaye mere bi nayan.. 

Tuesday, October 23, 2012

Jane wale chale jate hain..



Jane wale chale jate hain..
Apni yaadein dilon mein sanjo ke..
Jab jab aati hai unko hamari yaad, 
Toh dil ke kone se dard ban ke 
Aankhon se chhalak ke aa jate hain bahar..
Pal pal ka tha saath kab kho gaya pata nahi.. 
Ab aati hai unki yaadein per wo nahi..
Phir bi na jane kyun rehta hai intezaar 
in khuli palkon ko unka har baar.. 
Shayad aaj bi wo mujhe bhula hi nahi..

Monday, October 22, 2012

Dil tha mera aisa parinda..


Dil tha mera aisa parinda
Jo naa jane kis aur
Pankh phela ke udd jata..
Sochta tha bahut kuch per
Jab se aaya hai khayal tera..
Bebas hoke chupke se
Kone mein baith jata hai..
Yeh teri mohabbat thi ya
Tera deewana pan jo
Tere jane ke baad bi
Tere dilse juda hi nahi
Ho pati hai meri rooh..



Kabhi khule aasman ke Niche..


Dilon mein rehne wale,
Kabhi khule aasman ke
Niche bi aake mil..
Dekh kaise jee rahe hai
Aaj bi hum tere bin..
Tum to chhup gaye ho
Badri ka chand ban ke..
Per taras ke chhalak gaye
Mere nayan  aaj bi
Tera intezaar karte..

Thursday, October 18, 2012

Aaj suji hai shararat is..


Aaj suji hai shararat is nadan dil ko...
Chala hai mohabbat ka dum bharne..
Badi dher se hai machal raha
Aaj to usko I L U bol de..
Bahut dher se hai muskura ra,
Mann hi mann alfaazon ki
Jod tod mein ulhja raha..
Aankhon mein masti aur
Hoton ki muskaan,
Chhuppaye nahi chhupti..
Yeh gulabi chehre pe
Khuli ishq ki kitaab..
Per wo hai kahan,
Jiska hai intezaar
In aankhon ko abi..
Ya main hi hui deewani uski
Jo khud hi uske khayalon mein
Ja rahi hun dhoobti..
Yeh dil bi pagal hai jo karta hai
Shararat ajeeb ajeeb.. ;)

Pal bhar mein tumne..


Pal bhar mein tumne chur chur
Kar diye mere dil ke mahal..
Mujhe apnana naa tha toh bata dete..
Yun dillagi karke mera dil toh na tod te..
Mana kal tak tumhari
Nazar mein thay hum khaas
Jab aaya pal saath dene ka toh
Thaam liye kisi aur ke haath..
Tumne pher diye mujhse apne nayan..

Wednesday, October 17, 2012

Itna na mujhe tu pyaar..


Itna na mujhe tu pyaar kar
na tu mujhe itna yaad kar.. 
Seene mein mere uth raha hai dard..
Bechain ho jati hai dhadkane meri
Aur tadap ne lagti hain saanse bi ab..
 sochte hain kaise jeeyenge 
hum tere bagair ek pal..

Tuesday, October 16, 2012

Waah re ameer..


Kitna sukh aur anand tha
Jab main sab ke liye ek tha..
Waah re ameer..
Pathar aur mitti ka tha main to
Teri pyaar se machal jata tha..
Gareeb ki joli mein uski pukar se
Pigal ke sama jata tha..
Jabse tumne mujhe
Sone ke siyasan aur
Heere ke mukut se nawaza hai
Main to tera hi hoke reh gaya…
Ameer ke gale se lekar
Anghutti mein mujhe sajaya hai..
Gar mein mujhe alag alag 
roop mein bithaya hai..
Ab main to bas puja ke liye kam
Show piece jyada dikhta hoon... 
   bas ab teri hie aawaz sunta hoon..