Yaa rabb ji..
kaisi duniya aap ne banayi,
yahan hain sab kasai..
Har ek hai apne mann ka chaturayi.
aise diye do nayan jo kuch pasand aa
jaye toh kar deta hai bechain.
aisi de zubaan jo chakhati hai
kayi swaad aur ho jati hai belagaam.
dil aur mann ke kya keh ne,
woh toh sada peete rahte
khushi aur gham ke jaam.
aah sabse upar dimaag baap re baap
pata hie nahi chalta kab ho jaye kharab.
chehre pe lage do kaan aur
yeh beech mein lagi naak,
yeh toh lagate hain dilon mein aag.
kaan sunte nahi puri baat,
naa naak leta puri saans ..
aaj hai yeh insaan apne
aap se pareshaan..
kya kare ab baghwaan..