Monday, February 28, 2011

AAJ CHANDNI RAAT...

Aaj chandni raat hai..
Sanam tumse milne ki aas hai...
Sara jag soya hai...
Phir tu kahan khoya hai...
Pal ..Pal kat taa nahi
Kuch accha lagta nahi...
Chand karta hai pharedari...
Jaldi se aajao kahin
nikal na jaye jaan humari....

DIL KE JAROKHE MEIN..


Dil ke jharoke mein 
Tujh ko bitha kar
Karunga tere deedar...
Naa aaye kabhi gham aur 
Udaasi tere aas-paas.
Rakhunga mein tujhe apni nazron ke paas..
Ek baar toh kar le vishwas
Aake is dil vich bas ke dekh le 
Ab naa yun tu sharma..

SONI SALONI...

Soni saloni meri heeriye...
Ek pal toh aake miliye..
Kab se karta hoon tera intezaar
Kabse hai dil mera,
Tujhse milne ko bekarar.
Teri gali ke nukkad te
Kabse taak raha hoon teri raah..
Ek palak naa jabki meri nazar ne,
Kahin tujhe miss na kar lun meri jaan..

NAA JANE KYUN..

Naa jane kyun log
mohabbat kiya karte hain..
Apna haal-e-dil is tarah
bayaan karte hain...
Hume sare aam badnaam karke
khud sharieff bante hain..
kya yeh ab bi hum se 
mohabbat karte hain...

SHABNAM KI BARAS

 Shabnam ki baras
rahi hai boondo ki lahri..
aao milene ke liye gari do gari...
dil ne pyaar ka raag chheda hai..
chhaya gana andhera hai....
oolwono ka pehra hai...
aur kab tak karu intezaar,
yeh dil bada akela hai...
jaldi aao hone ko savera hai...


                                                                                   

Ya Rabba...

Ya rabba...mujse
mera pyaar mila de,
uske deedar kara de..
Chandi jaisa tan hai jiska
sone jaise baal....
Ek wohi danwaan hai 
gori meri nazar mein,
jiske pyaar mein hoon main deewana..
Pal bhar sub thum jaye,
kum se kum hum jayda nahi toh 
kuch pal ke liye mil paaye...

EK NAZAR KARO..

Ek nazar karu deedar yaar de,
sone pyaar de...jo aan basay
dil vich mere chupke se dher raat se.
Naa koi aawaz dena, naa koi shor karna.
warna chaal dehange woh kuch bole bina..
kahin ruk naa jaye 
 mere dil ki dhadkane unse milay bina...

JHUK GAYA AASMAAN

Jhuk gaya aasmaan
zameen ko chumney ke liye.
Dil ne bi chura liye
kuch pal apne liye..
Aa gayi hai bahar
bharson ke baad..
Apne pyaar se
milne ke liye..

DIL KA DARD HAI...

Dil ka dard hai mera
Koi janta hi nahi..
Udaas hai mann mera
Woh aake manata nahi..
Nuske sab dete hain mujhe
Per usko koi samjhata nahi..
Na do koi nasiyat dil ko mere..
Woh toh rutha hai 
Mohabbat mein apne pyaar se.

NAA KAR KISI SE..


Naa kar kisi se itni baatein ke
woh kuch aur samajh le  
baaton hi baaton mein woh
tere ghar ka pata puchh le
dosh naa dena kisi ko.. 
tum khud itne khubsurat ho. 
vishwas naa ho toh 
dekhlo uski aankhon ko...

NAA LIKH MERA


NAA likh mera
naam in pano per
koi aur padhey...
naa kar mera
zikar in pano se
ke woh jale.. 
naa kar meri taarif
padne wale bhi
mujh pe mare...
haqeeqat hoon,
tera koi sapna nahi.. 
aaj pyaar tune jata diya
main tera koi apna nahi...

DARD ka EHSAAS..


kyun ho aap Itne udaas...
Kyun hai chehre pe aapke
DARD ka EHSAAS.. 
Jor do apne zindagi mein 
DIL aur DHADKAN ki mithas..
 Har phool hai dost ke samaan..
Har aik ki hai apni pehchaan..
Mehakte rahenge aapki muskaan se 
aise kai phool subah aur shaam..
Bas rakhna in phoolon ko
Apne dil ke aas paas.. 
Warna phir tum ho jaoge
bin inke udaas..


 

KYUN KARTI HO..



Kyon karti ho
chupke se deedar mere..
nazrein churati ho kyun mujhse..
milne ke kai bahane diye,
aati kyun nahi mil ne ke liye...
ab yun na tadpa,
na le mere sabr ka imtiyaan..
kahin ho na jaun
deewana tere pyaar mein..
kahin pagal aashiq na keh laun
tere hie galiyon mein...

TUM AAYE AAGAN...

Tum aaye aangan mein mere.. 
bahar aagayi.. 
pehle bata dete to
phool bhichha dete. 
gham aur udaasi ko
durr bitha dete....
affsos is qabeel na
samjha hume.
kum se kum nindh se
jaga dete..
dil ke andher
tume chhupa dete....

Aaj aayi baat..

 Aaj aayi baat 
zubaan per toh
alfaaz chhup gaye..
ab kaise chupaye dard-e-dil ka
jab aankhon se aansu
motiyon mein beh gaye..

NAA TOL KISIKO..

Naa tol kisi ko apni 
nazron ke tarazu mein...
kahin sharam se
woh dhoob na jaye
apne aansuon mein...
kyun leta hai mazaa
kisi ki majhboori ka..
apna girebaan bi dekhle 
kal tu kya tha,
uske aankhon ke saamne..

YEH SHAHER KE ...



kyun hain Yeh shaher ke log itne ulhje hue se..
kyun hain inke maathe pe itni shikanje.. 
kyun hai subah se raat tak 
yeh itne laachar aur pareshaan se..
Inne zindagi ki keemat kyun nahi hai.
Naa DAUD KHAYALI GORE PER..
Naa apne jeevan ke kuch khushi ke pal kam kar. 
NAA rondh dusre ki khushiyaan apni chahat per. 
zara dusron ka bi dard mehsus kar,
inke bi hain apne ghar
.
yeh bi to chal rahe kisi na kisi ke sangh..
phir yeh shehar ke log, 
itne ulhje hue kyun hain har waqt..

KHULE AASMAAN KE..


Khule aasmaan ki niche
Hum hain latey hue.
Aasmaan ki kali chadar per
Til milate hain croreon taare.
Jugnu aaya lekar
Unke aane ka paigam..
Karte rahe hum intezaar
Woh na aaye ab tak.
Halki si thandi hawa chali
Meri aankhon se
Aansu ke moti chhalak pade
Aakar usne apni haatheli se
Aansu thaame aur holey se boli... jaan I L U 2

PYAAR KARTE HO...

Pyaar karte ho..
toh jata te kyon nahi.
jaa kar usse batate kyon nahi.
kya woh khuda hai jo khud jhaan jayegi..
jaldi kar warna kisi aur ki ho jayegi....

NAA BADAL KISI KE.....

Naa Badal Kisi Ke Liye Ke
Woh Tujhe Pyaar Kare.....
Tum Jaise Ho Bas Woh
Tumhe Sewekar Kare....
Naa Kar Pyaar Mein Koi Saude Baazi..
Jis Mein Naa Ho Tera Dil Bi Raazi..

NAA KARO KUM..

Naa karo kum
zindagi ke pal 
kuch dhoond ne mein.
warna katam ho jayegi
zindagi kuch pal mein...
reh jayenge dil ke 
armaan adhure se..
laut ke nahi aayega 
phir wohi waqt
jo tha kabhi tumhare kismat mein..

NAA BADAL ITNE

Naa badal itne chehre ke
apna chehra bhool jaye...
rakh apna ek naam..
kahin tu benaam na ho jaye..
dusron ko bewakuf banate banate...
kahin to apna wajhud hi bhool jaye..

JO LOG APNI..

Jo log apni haath ki,
Lakeer per vishwas karte hain..
Woh wahi ruk jate hain...
Jo dil per vishwas karte hain..
Woh baazi maar jate hain.

PHOOLON KI KHUSHBOO SE...

Phoolon ki khushboo se
Mahek utha hai mann mera...
Dil ke taar baj uthe,
Jab sunni pakshiyon ki awaaz..
Jhoom rahi hoon main aaj piya
Morey piya..laker tera naam.
Baro anand bayo
Jab tum aaye more aangan mein
Bansuri wale shyam...

MITTI KE GHAR

Mitti ke ghar banaye ..
Bachpan mein sapne sajaye..
Khilono se khele gudde aur
gudiyon ke bhyaa rachaye...
Naa tha kuch bi tab pata..
Waqt badal dega karvat is tarah..
Aaj hai sab pata,
dil mein hota hai dard kuch is tarah..
Kabhi tumse naa milne ka,
aankhon mein ek sawal sa bana,
kahin tum mujhe bhool toh nahi gaye..
Tut ke bikhar gaya hai sub kuch ab mera,
reh gayi hain bas yaadein ab..
Kab aaoge sametne ke liye 
wo mitti ke khilone aur  wo ghar...

TUM KISIKI GHAZAL HO..

Tum kisi ki ghazal ho
ya kisi ki kavita....
itni pyari surat wali
kya tum ho koi shayri..
rabb ne tujhe banaya hai
kisi khaas cheez se..
tum jaisi pari nahi
dekhi is zameen pe..
nayano se tere
noor chhalkta hai aur
teri muskaan se moti .
jo ek baar dekhe to
dekhta hie reh jaye..
lagta hai khuda ne tujhe..
badi fursat se racha hai.....
oh.. swarg lok ki pari
kyun hai ghumsum si khadi
dil pe mere chalti hai
tere nazron ke teer...

KALI KALI JHULFEIN TERI..











kali kali zulfein teri.
hawa mein barti hain angrayi.
kajal se range tere do nayan
karte hain mujhe bechain
aadhe khule tare gulabi hoton
jaise kuch kehna chahate ho..
chandi jaisi rang wali..soniye.
yun na kar mera qatl.
dard hota hai bada..
yun na 
ettra itna
mera dil hai pada, 
tere kadmo mein
ho naa jaye ghayal...
jabse dekha hai tujhe,
ho gaya hoon mein 
tera pagal deewana..

Friday, February 25, 2011

KAH DIYA BYE BYE..



Aaj keh diya unse
Apna aakhri salaam,
Ka diya unne bye bye.
Per yeh dil hai ke bas
Unke pichhe hie jaye.
Aankhon ko bandh
Kar rakha hai
Per woh hain
Dundhti unne baar baar
Hoton ko si diya per woh
Zabaan chup na reh saki
Liye beghair unka naam.

MY LOVE....

My love  u r my life..
How can i think to live without u.
U cared for me and loved me so much...
I forgot the outside world..
What went wrong u have forgotten me.
Why have u changed like this..
Now u dont care for me like before....
Was ur love not true...or 
My love  was not enough for u...
U went away without telling anything.
U found new path or new frnd...in ur life .
U forgot to come  back to me...
But darling am still waiting for you impatiently.

Thursday, February 24, 2011

O BEAUTIFUL LADY..



O beautiful lady...
Please turn around and see...
I am just waitng for you.
You are dancing around
Like a butterfly.
Your eyes with black koil
 Have made me fall in love with you.
Your smile is taking
Away all my attaintions.
 Your presence make flowers bloom.
You have made me go mad behind you.
You seem to be from heaven..
But i have no patiences..now,
O sweetheart just have a look at me
I am here for you.
Please dont turn away
 Wiyhout seeing  me.
O beautiful lady
Dont break my heart..i luv u...

KUCH PAL TUMARE..


Kuch pal tumare saath bitaye, 
jaise janam janam ka saath ho..
baaton hi baaton mein tum khaas ho gaye,
dil ke itne paas hoke bi,
aisi kya baat hui ke 
tum humse dur ho gaye...
Aao laut aao ke hum, 
aaj bi hum intezaar karte hain...
ab bi un anmol palon ko 
yaad karte hain.
durri ab sahi jati nahi.
ab kya tumko humari yaad aati nahi..

KAGAZ PER LIKHE...

Kagaz per likhe hain alfaz
alfazon mein chupa hai
tera naam...
Tera naam late he
bhajte hain dil ke taar.
aankhon mein pyaar...
ek ajeeb sa khumaar..
bas ho jaye tumare deedar...
yeh hee kehta hai mann
aaja piya ek baar....

TUM HUMARE PAAS....

Tum humare paas hote toh aaj,
hum kisi ke aur ke saath naa hote.
Tumne hume yuh beech raha mein
chhod diya aur kisi ke ho liye. 
abh kyun karte ho, gila aur shikva.
ab hum per aitbaar hie na raha,
kab tak dilaye tumhe yakeen
aaj bhi hain hum wohi...

NAA FAER HUME DEKH KAR...

Naa faer hume dekh kar
apni nazar is tarah,
dard hota hai dil mein
tarap jata hai jigar.
pata nahi kya khata humse hui,
jo yeh saza hume aap ne di.
pal pal marte hain,
tumhe kya bataye kis 
haal 
mein hum jeete hain.

TERI NAZRON NE..



Teri nazaron ne kar diya hai 
Mera dil ghayal...
Tere naam ne kar diya hai, 
Mujhe pagal...
Ab toh bechani si rehti hai, 
Har pal...
Aankhen dhoond rahi hain, 
Tumhe idher udher, 
Ab na yun tadapa, 
Dard na mere dil ka aur bada, 
Pyaar bas tu ab ki baar aaja..

CHEHARE PE CHHERA

Chehre pe chehra,
Benaam chehre mein
Chhupa hai lutera..
Charon taraf hai
Kai aankhon ka pehra.
Nakab odh ke
Ghumta hai chhora.
Pyari pyari baaton se,
Loot ta hai dil hasinao ke.
Yeh hai bada hoshiyar,
Per karta hai beautiful
Chehron ki talash..
har baar badal ke nakaab
ajeeb sa hai iska andaz..
yeh karta hai mohabbat 
bas kuch palon ke liye..

CHALAK GAYE ASHQ...


Chhalak gaye ashq to
Palkein jhuk gayi.
Aankhon ne kaha dil se
Teri wajah se main ro padi...
Jab ungliyaan 
Ashq sametne lagi,
Toh dil se awaaz aayi
Dil..kyun re berehn aankhiyan 
Tumne nazrein chaar ki..
Mujh pe vaar hua
Dard mujhe mila.
Tumne toh ashq bha ke
Apne gham ko kum kiya.
Per hume to jeene bi na diya..

BEHJATE HAIN ASHQ..

Beh jate hain ashq aankho se
Jab  jab tera naam zubaan per aata hai.
Hare ho jate hain  soye hue zakhm
Jab bi tera khayal aata hai.
 pyar mein dil naa de sake,
Toh dard  kyun diya

KARLE KISIKO KHUSH..


Kar le kisi ko khush ke,
Tera dil dhol uthe...
Kar koi aisa kaam ke
Tere apne tujh pe naaz kare...
De de apni zindagi ke kuch pal daan
Ke koi aur jee uthe..
Tera kya hai,
tu laya kya tha,
Sab rabb ki rehmat hai..
Pata nahi palak japakte hie 
Phir yeh pal mile ya naa mile..

TERI BEWAFAAI SE...

Teri bewafaai dekh ke mera dil tadap utha,
Tere diye hue gham-o-dard ko 
apne seene se laga kar kab tak rote rahe...
Eh harjaee tumko thora bhi ehsaas na hua
Meri wafa-e-mohabbat ka..
 Aaj bi tumse kitni mohabbat hain mujhe..

SHAMA JALTI RAHI..


Shama jalti rahi parwana gata raha,
Shama jal jal kar rohti rahi..
Parwana apna dard sunata gaya
Dono ke dil thy dard se ghayal..
Kis ko iljaam dete
Apni badh naseebi ka..
Kya pyaar mein aisa hi hai hota..

A AJNABI KAISA JADOO..

Ah ajnabi kaisa jadoo kar diya
ek nazar mein tuney apna kar liya.
Aaina dekhti hoon toh tum nazar aate ho,
pal mein hansti hoon,
pal mein aankhen nam ho jati hain.
Tere khayalon mein kho jati hoon
abh toh mujhe apne dil ki
dhadkan bhi nahi sunai deti.
Yeh ehsaas hota  hai,
tum mere aaspaas ho.
Akele baith kar tere sangh hone ke,
sapne bhunti rahti hoon.
Raaton ko jaag kar taare ginti rehti hoon.
Subh ko tere aane ka intezaar karti hoon
ah ajnabi tera jadoo chal gaya.
Mera dil tera ho gaya...

Wednesday, February 23, 2011

PADOSAN KA SHORA


Dekhne mein gora hai padosan ka chhora,
Dil us pe aaya hai mera thora thora..
Jab woh sab se karta hai meethi meethi baatein,
Dil jalta hai mera roti hain aankhen..
Woh yeh sab na jane,
Kab mera dil uska ho gaya..
Bhule se woh bi apna ho gaya..
Karti hoon intezaar uska subah aur shaam,
Kab aayega mujhse milne bolo na hay ram..
Darr lagta hai..woh toh mann ka hai mauji albela,
Koi sakhi na daal de us par apni bhaon ka gehra.
Dhak dhak karta hai dil mera,
Kahin kisi aur ka naa ho jaye woh padosan ka chhora..

KHUSHIYON KA DARIYA

kaash khushiyon ka dariya hota..
Dono haathon se bhar ke aaj
khushiyaan bikhare deti..  
sare kante apne
aanchal mein samate leti..
per tere aankhon se
ek aansu na beh ne deti.
pal kuch ruk jao toh
apna dil bhi cheer kar tujhe deti..
per tujhe rone na deti..
teri khushi ke liye apni saanse
bhi tere naam likh deti.
per tujhe yun dur na jaane deti....