Naa jane kaisi chal rahi hain yeh hawayein..
Riston ki dewaron mein
Nazar aati hain khul ke dararein..
Chhupaye kai jhoot aankhon mein
Jhooti si hain labon pe muskaane..
Yaad aagaye aaj waqt purane
Kahan kho gayi woh sanskar aur saugatein..
Janam ke riston mein ab kahan hai
mithas
Bas nazar aati hai jalan aur khatas..
Anmol riston ki jagah gehron ne le li,
Ab kahan hai jaroorat apno ki kahin bi..
Daulat ne rang apne aise dikhaye ke
Lalach mein aake bhool gaye
Mol apne aur paraye mein..
Kaisa nakaab maya ka aankhon pe
rakha
Khoon bi ab paani sa nazar aane
laga..
Kured ke zakhm dard bhare
Kyun sare aam apno ke dil ko ghayal
kare..
Waqt aata nahi laut ke kabhi kisi ke
liye
Thaam le ab bi hai tere daaman mein
Jo anmol rishte apno ki saugaat se mile
hue..
Warna reh jaaoge pachhtate aur
Haath malte hue humesha ke liye..
Nafrat ki nazaron se aag niklegi badle ki
Jab julas jayegi anmol dor rishte
ki,
Phir baith ke khushi se mattam
manana
kisi apne ka parayon ke saath..