Sunday, December 22, 2013
Paalnay se Shamsaan tak..
eh zindagi maa ki kokh se, shamshaan ki arthi tak.
Jab se aayi is duniya mein, Pal, din aur
mehino se saalon tak Har pehr se tu gujri.
Kitne dard aur ghamon se tu ladi,
kitne toofano se hans ke kabhi roh ke takrayi
Kuch pal ki khushiyaan mili toh ganto mein gham,
dino ke dard aur saalon intezaar mein gujre.
Phir be tu khadi hai aise mor pe jahan apna na koi.
Apne ho gaye durr dhire dhire..
kisi mor pe mili khushiyaan toh mile aansu bi savgaat mein..
Jo pehchaan thi teri eh zindagi, sab piche reh gaya
jab ki bandh aankhen Arthi thi sajji aur kaffan thay kai.
Sare thay apne per sanghi tha naa koi.
Har ek ko dekha sab ki thi palkein beeghi si.
Khatam hua safar, tute sare rishte natay.
eh zindagi ab tu be hui parayi.
Chalo chalo jaldi karo koi awaaz aayi.
Jana hai humein be jaldi se karo ab in ki bidaai..
yeh hai eh zindagi teri paalnay se shamsaan ki kahani..
Labels:
kokh se arthi...
Thursday, December 19, 2013
Nazrein dhoond rahi hain..
Jane kahan gaye ho jo aaj bi
Nazrein dhoond rahi hain..
Hai talash aaj bi in khuli aankhon ko
Kabhi toh laut ke tum aaoge humare paas..
Hazaron sawal is masoom dil mein uth rahe ke
Kya itna hie tha saath un saat
Pheron ka ek dujhe ke saath..
Chale thay saath saath par
Tum na jane kahan aage chale gaye..
Laut ke aata hai din, laut aati hai roz raat
Par tum na jane wapas
Laut ke na aaye is baar..
Yeh kaise pardes gaye ho ke
Bhool gaye hum sab ko ek saath..
Kabhi di thi suhaag ke naam se jo mala
Mere gale ka shingaar thi bani..
Aaj woh bi teri jane se toot ke bikhar gayi..
Bikhra sansar bikhar gaya
Tere mere atoot bandan ka woh saath..
Jane kahan chale gaye tum ke
Adhure se reh gaye hum aaj..
Tuesday, December 17, 2013
Sunday, December 15, 2013
An illusion of destiny in my life..
Destiny writes & destiny decides
about a life day n night..
Thinking deeply about one's life,
Seeing with eyes & feelings from
heart..
But nothing is mine in this whole
universe..
Its just an illusion..
Millions of words have been heard & said about life
But still nothing stays with anything
forever..
Life is just an illusion of eyes..
Good & bad time passed by &
changes came in as
An illusion of destiny in my life..
Dont know anything about destiny,
Still confused & deeply thinking
about this illusion of life..
Everything happens with destiny's choice but not mine..
Friday, December 13, 2013
Adhura Chand hai ya hai Raat Udaas...
Adhura chand hai ya hai raat udaas...
Milte toh hain par phir bi
Adhuri hai chahat ki
pyaas..
Yeh raat ki tarasti nazrein
Aur dilon mein khuwaaishein hazaar..
Roz hota hai raat ko
Chand se milne ka intezaar..
Chand aata nahi kabhi akela
Kabhi hoti hai aamavasya toh
Kabhi hoti hai purnima saath..
Hoti nahi poori aaj bi adhuri mulakaat..
Labels:
chahat ki pyaas..
Tuesday, December 10, 2013
Ginti ki Mala...
Zindagi ke safar mein saanse ho ya
dhadkane,
Khushiyaan ho ya dukh, sab hai ginti se
tol mol ke milta..
Karmon ke tarazu mein,sab hai hissab apni
apni karni ka..
Zindagi ke safar mein, janam se
Maran tak hai ginti ko jodna aur kaat na..
Par bhool gaye ginti apne karmon ki..
Jodte gaye karni ki ginti bharm ke aaine
dekh ke.
Hue aamir duniya mein par garib ho gaye
sab kho ke
Apne karmon se us malik ke nazar mein..
Mile kai mauke karmon ke tarazu ko sahi
karne ke
Par tha parda ghuman ka itna ke
Aankhon ko kuch aur nazar na aaya..
Aaya waqt aisa ke karni aur
Karam ka tarazu hua upar niche..
Atak gayi ginti saanso ki dhadkon se..
Toot ke chuur hua bharm ka aaina
Kaat kut ke ginti shuniya rahi..
Aaye thay, karmon ki ginti kaat ne
par
Jaa rahe hain karni ki ginti ka hisaab jod
ke..
Phir se is ginti ki mala ke phere
mein
Phans gaye re manna tum..
Monday, December 9, 2013
sone sa bachpan...
chandi sa tha tab dil ka darpan..
dekh dekh ke aaj jeevan ke kai roop
kuch dundlane laga hai zindagi ka ab mann..
moom ki tarah thay tab hum.
maa ke aanchal se daka tha tab mera tan.
jahan jate pitaji ki thaami ungali
kabhi kabhi thay unki bhaon mein
mazay se itrate ghumte.
kaash koi laute de mujhe wo suhane se pal.
wo sone ka bachpan wo chandi sa dil ka darpan.
bas yaadon ko lekar dhundte hain
khud ko apne bachon mein wo sone sa bachpan.
per ab toh wo alag sa lagta hai,
mere bachpan se unka bachpan.
kahan kho gaya aaj ke bachon ka
wo sone sa bachpan,
wo sone sa bachpan,
wo chandi sa dil ka darpan..
kho sa gaya hai
ajeeb yantron mein aaj ka bachpan,
kho sa gaya woh mitti ke khilono ka rang..
badla zamana badli soch par
kho gaya is mein bachpan anmol..
tez hai aaj ke bachche
khilono ki jagah computer, mobile aur
ipad tablet ki hai chahat karte..
aate nahi bolne alfaaz thik se
par aaj ke woh geet hai
sunte aur gungunte bade chaha se..
kho gayi khushboo mitti ki perfume mein..
badla aisa zamana ke ab lagte hain
bachche bade intelligent apne maa baap se..
kaisi ulti chal rahi hai ginti ke
chhoti si ho gayi umar bachpan ki..
kho gaya sone sa bachpan,
kho sa gaya hai
ajeeb yantron mein aaj ka bachpan,
kho sa gaya woh mitti ke khilono ka rang..
badla zamana badli soch par
kho gaya is mein bachpan anmol..
tez hai aaj ke bachche
khilono ki jagah computer, mobile aur
ipad tablet ki hai chahat karte..
aate nahi bolne alfaaz thik se
par aaj ke woh geet hai
sunte aur gungunte bade chaha se..
kho gayi khushboo mitti ki perfume mein..
badla aisa zamana ke ab lagte hain
bachche bade intelligent apne maa baap se..
kaisi ulti chal rahi hai ginti ke
chhoti si ho gayi umar bachpan ki..
kho gaya sone sa bachpan,
chandi sa dil ka darpan in ajeeb se yantron mein..
Labels:
dil ka darpan..
Subscribe to:
Posts (Atom)