Sunday, December 22, 2013

Phas Gaya Bechara Dil...

Baithe hain apne is choti se jeevan mein
Unguent paap ki gathri bana ke.. 
Kabhi mann ne lalchaya toh
Kabhi aankon ko nazron ne lubhaya..
Jane anjane kitne dilon ko dukhaye, 
Tha ghamand kisi nashe ka 
Ya thay apni aadat se majboor..
Pee kar unguent aansu phas gaya bechara dil.

Paalnay se Shamsaan tak..

eh zindagi maa ki kokh se, shamshaan ki arthi tak.
Jab se aayi is duniya mein, Pal, din aur 
mehino se saalon tak Har pehr se tu gujri.
Kitne dard aur ghamon se tu ladi,
kitne toofano se hans ke kabhi roh ke takrayi
Kuch pal ki khushiyaan mili toh ganto mein gham,
dino ke dard aur saalon intezaar mein gujre.
Phir be tu khadi hai aise mor pe jahan apna na koi.
Apne ho gaye durr dhire dhire..
kisi mor pe mili khushiyaan toh mile aansu bi savgaat mein..
Jo pehchaan thi teri eh zindagi, sab piche reh gaya 
jab ki bandh aankhen Arthi thi sajji aur kaffan thay kai.
Sare thay apne per sanghi tha naa koi.
Har ek ko dekha sab ki thi palkein beeghi si.
Khatam hua safar, tute sare rishte natay.
eh zindagi ab tu be hui parayi.
Chalo chalo jaldi karo koi awaaz aayi.
Jana hai humein be jaldi se karo ab in ki bidaai.. 
yeh hai eh zindagi teri paalnay se shamsaan ki kahani..

Thursday, December 19, 2013

Nazrein dhoond rahi hain..

Jane kahan gaye ho jo aaj bi 
Nazrein dhoond rahi hain..
Hai talash aaj bi in khuli aankhon ko 
Kabhi toh laut ke tum aaoge humare paas..

Hazaron sawal is masoom dil mein uth rahe ke 
Kya itna hie tha saath un saat 
Pheron ka ek dujhe ke saath..
Chale thay saath saath par 
Tum na jane kahan aage chale gaye..

Laut ke aata hai din, laut aati hai roz raat 
Par tum na jane wapas 
Laut ke na aaye is baar..
Yeh kaise pardes gaye ho ke 
Bhool gaye hum sab ko ek saath.. 

Kabhi di thi suhaag ke naam se jo mala 
Mere gale ka shingaar thi bani.. 
Aaj woh bi teri jane se toot ke bikhar gayi..
Bikhra sansar bikhar gaya 
Tere mere atoot bandan ka woh saath..
Jane kahan chale gaye tum ke 
Adhure se reh gaye hum aaj..

Tuesday, December 17, 2013

Ashq..

Aankhiyon mein rehne de 
Na yun humein tadpa..
Tadap tadap ke bichhar ke 
Hum jayen to jayen kahan..
Uljhi hain nazrein teri dil ke dard se, 
Gham ke saaye mein 
Kyun karte ho humein yun qurbaan..
Rehne de hume apni aankhyon ke aaspass...

Do pyare dilon mein vichhora..

Dard dil ka dekh ke aankhen roti...
Thar tharaye lab ke kab tak haal apna 
Palkon ke pichhe se chhupaye koi..
Bichhran aisi aayi ke kar gayi 
Do pyare dilon mein vichhora.. 

Sunday, December 15, 2013

An illusion of destiny in my life..

Destiny writes & destiny decides about a life day n night..
Thinking deeply about one's life,
Seeing with eyes & feelings from heart..
But nothing is mine in this whole universe..
Its just an illusion..
Millions of words have been heard & said about life
But still nothing stays with anything forever..
Life is just an illusion of eyes..
Good & bad time passed by & changes came in as
An illusion of destiny in my life..
Dont know anything about destiny, 
    Still confused & deeply thinking about this illusion of life..
   Everything happens with destiny's choice but not mine..

Friday, December 13, 2013

Adhura Chand hai ya hai Raat Udaas...


Adhura chand hai ya hai raat udaas...
Milte toh hain par phir bi
Adhuri  hai chahat ki pyaas..
Yeh raat ki tarasti nazrein
Aur dilon mein khuwaaishein hazaar..
Roz hota hai raat ko
Chand se milne ka intezaar..
Chand aata nahi kabhi akela
Kabhi hoti hai aamavasya toh
Kabhi hoti hai purnima saath..
Hoti nahi poori aaj bi adhuri mulakaat..

Tuesday, December 10, 2013

Ginti ki Mala...

Zindagi ke safar mein saanse ho ya dhadkane, 
Khushiyaan ho ya dukh, sab hai ginti se tol mol ke milta.. 
Karmon ke tarazu mein,sab hai hissab apni apni karni ka..
Zindagi ke safar mein, janam se 
Maran tak hai ginti ko jodna aur kaat na..
Par bhool gaye ginti apne karmon ki..
Jodte gaye karni ki ginti bharm ke aaine dekh ke.
Hue aamir duniya mein par garib ho gaye sab kho ke 
Apne karmon se us malik ke nazar mein..
Mile kai mauke karmon ke tarazu ko sahi karne ke 
Par tha parda ghuman ka itna ke 
Aankhon ko kuch aur nazar na aaya..
Aaya waqt aisa ke karni aur 
Karam ka tarazu hua upar niche..
Atak gayi ginti saanso ki dhadkon se..
Toot ke chuur hua bharm ka aaina 
Kaat kut ke ginti shuniya rahi..
Aaye thay, karmon ki ginti kaat ne par 
Jaa rahe hain karni ki ginti ka hisaab jod ke..
Phir se is ginti ki mala ke phere mein 
Phans gaye re manna tum..


Monday, December 9, 2013

sone sa bachpan...

Sone sa tha bachpan, 
chandi sa tha tab dil ka darpan..
dekh dekh ke aaj jeevan ke kai roop 
kuch dundlane laga hai zindagi ka ab mann..
moom ki tarah thay tab hum.
maa ke aanchal se daka tha tab mera tan.
jahan jate pitaji ki thaami ungali 
kabhi kabhi thay unki bhaon mein 
mazay se itrate ghumte.
kaash koi laute de mujhe wo suhane se pal.

wo sone ka bachpan wo chandi sa dil ka darpan.
bas yaadon ko lekar dhundte hain 
khud ko apne bachon mein wo sone sa bachpan.
per ab toh wo alag sa lagta hai, 
mere bachpan se unka bachpan.
kahan kho gaya aaj ke bachon ka 
wo sone sa bachpan,
wo chandi sa dil ka darpan..

kho sa gaya hai 
ajeeb yantron mein aaj ka bachpan,
kho sa gaya woh mitti ke khilono ka rang..
badla zamana badli soch par 
kho gaya is mein bachpan anmol..

tez hai aaj ke bachche 
 khilono ki jagah computer, mobile aur 
ipad tablet ki hai chahat karte..
aate nahi bolne alfaaz thik se 
par aaj ke woh geet hai 
sunte aur gungunte bade chaha se..

kho gayi khushboo mitti ki perfume mein..
badla aisa zamana ke ab lagte hain 
bachche bade intelligent apne maa baap se..
kaisi ulti chal rahi hai ginti ke 
chhoti si ho gayi umar bachpan ki..
kho gaya sone sa bachpan, 
chandi sa dil ka darpan in ajeeb se yantron mein..

Thursday, November 21, 2013

yeh hai ashq mehboob ke..

 Boondein shabnam ki hai 
Ya hai ashq mehboob ke..
Jo tip tip ke chhalke phoolon pe 
Motiyon ki tarah.. 
Ya Roya aasmaan Raat bhar 
Dharti se milne ke liye.. 

Wednesday, November 13, 2013

You were very precious...


You were very precious n darling to me..
But the almighty was jealous 
By seeing you with me..
So he took you far away from me..
Nor a tear from my eye 
Will get you back in my life 
Or any prayer will 
Bring you back to me..
But still my eyes are searching n 
Missing you all the time..
Where ever you are,
Just wish from my heart...
You are fine..

mehine aaj saal mein..



                                              Pal pal gin ke gujar gaye din mein.. 
Din mehino mein, aur mehine aaj saal mein.. 
Mil gayi zindagi phir jake paanch tatavon se..
Kahan se laye tumein dhoond ke aur kis jahan se..
Bas palkon mein chhupe ho 
Yaadein bane ke dil aur dimaag pe..
Sisakta hai dil toh roti hai aankhen 
Aaj bi teri yaad mein..
Kahan gaye woh jin ke intezaar mein 
Kabhi nahi thakti thi yeh nigaayein..

Saturday, November 9, 2013

Chithhi na koi sandesh..


Chithhi na koi sandesh
Tum na jane gaye aise kaun se pardesh
Ke laut ke aana bhool gaye..
Beet gaye din mehino mein 
Phir bi na aaya tumhara koi message 
Kya tum mera number bhool gaye..
Ya us pardesh mein return ticket nahi milti 
Jo tum is mehboob se milne aao..
Thak gayi hain meri aankhen 
Ashq chhalkate teri judai ke intezaar mein..
Ab palkein bi bandh ho gayi 
Dekh ke waqt ki bewaafi..




Friday, November 8, 2013

Tum na jane kis jahan mein kho gaye..

Tum na jane kis jahan mein kho gaye..
Mujhe pichhe chhor ke 
tum aage kahan chale gaye..
Vaade thay saath saath chalne ke
Mujhe beech majhdhaar mein kyun chhor gaye..
Bas ab teri yaadon ke mahal mein hum 
khamoshi se kho ke reh gaye..
Laut ke aati hain beeti hui yaadein 
kaash ke tum bi  kabhi laut ke aa jate..

Monday, October 28, 2013

Ufffff yeh hai karmo ki kitaab..


Sunte aaye thay uske ghar dher hai andher nahi..
Woh rakhta hai nazar sab pe jaise gari ki sui.
Likhta hai woh pal pal ka hissab
Har ek zindagi ka kitaab mein..
Aaj aake dekha panne apne jeevan ke hissab ke..
Ufffff yeh hai karmo ki kitaab..
Kuch alfaaz hain jaage aur kuch soye hue katar mein..
Is mein hai hissab kitaab naiki aur baddi ka..
Ek yeh panaa hai meri zindagi ka
 jane anjane kiye maine itne gunha
 Jo sharm saar hoon main apni hie nazron mein..
Milte hain kai janam rone aur pachhtane ko
Par milta nahi koi aisa janam 
Phir se aake maafi maang ne ko..
Mila insaani chola kuch accha karm karne ko
Par mann ki laalach ne dhoobo diya
Is jag magati duniya ki chamakte khilono mein..
Aaj aaya hosh toh to dag magaya sa main
Afsos phir se ghumna padega 84 lakh ke chakkar mein..


Saturday, October 26, 2013

Gujre zindagi ke aise morh se..


Gujre zindagi ke aise morh se
Har kuche aur gali se,
Mile ungint musafir zindagi ke safar mein,
Apni soch aur apne vichaar zindagi ke batla te..
Ab nazar aate hain mujhe zindagi ke raste 
Mushkul apne hie khayal se..
Lagta hai pathar ko puj ne waale 
Kahan kisi ke hote hain, 
Yeh toh apne saaye se bhi 
Bahut darrte hain..
Apna apna kehne wale 
Ab beghane se lagte hain..
Jhooti hai shaan, jhooti hai 
Unke chehre ki muskaan.. 
Jhoote hain sare rishte 
Jab toot jaye saanse dhadkan se..


Sunday, September 22, 2013

Num palkein aur udaas mera mann






Num palkein aur udaas mera mann 
Na jane ab tanhaiyon mein kyun hai itna dard-e-gham.. 
Soch ke samundar mein shuniya si thi khadi meri nazar..
Khayalon ne jo dekha toh apne saath le chale..
Khamosh thi zubaan jo nazron se na jane
Kahan dhubkiyaan khate nikal pare..
Khoyi thi itni ke apne aas paas ko bhool gayi..
Yaadon ke guldaste se kuch phool nazron se takraye 
Kuch phike rang thay kuch kuch thay murjaye se..
Soch ke samundar mein kahan se ab tumein doondh layein.. 


Friday, September 20, 2013

Eshwar allah tero naam..

Eshwar allah tero naam,
Karte kitni mohabbat
Sab us malik de naal..
Subah shaam karte
Binati aur pranaam..
Phir bi na jane chhupe
Kitne avgun apne andhar..
Aaj bi apna apna karte hain,
Par jo us malik ki mohabbat ka
Tohfa hai usse kabhi
Dil se qabul nahi karte..
Aaj bi hai bedh baav
Dil mein apna aur paray ka,
Mera aur tere ka..
Jab sab ka malik ek hai
Phir kyun uski is
Khubsurat srishti mein
Aake maanv jeev ne
Nafrat ke rang bikhere hain...
Malik humesha har pal
Saath rehta hai.. 
bas maanv ne uske
Roop anek bana daale..
Dekho toh woh malik
Aata nazar har taraf hai..

Religiously..every soul on this universe..




Religiously every soul on this universe
Is born from purity of love n blessing of almighty..
Every moment of life is a challenge
To face positive & negitive energy of
Almighty's power from universe..
Universe is full of different kinds of souls..
Humanbeing has divided love for almighty
In so many religions with different ritual of prayers..
Still their are so many types of doubts
In human's mind about faith in almighty..
Human nature hold fence of anger & jealousy
Between the soul of almighty..
Any soul or religious substance
Becomes pure after  immersing
In holy water(sea or river)..
But we human being wash our body
Which is made of 5 elements with water everyday
But cannot wash the hatred from
Heart for the soul of almighty..

Wednesday, September 18, 2013

GANPATI BAPPA MORIYA...



Jis maanv ko srishti ne mitti se racha..
Aaj wohi hai rachta
Mitti se mere kai avtaar..
Dekhne mein mitti ka hoon
Rangon ki masti se sajj sanwar ke
Kharidaar ki aastha se
Pujniya ke kabil ban jata hoon..
Hai kitna masoom sa yeh maanv ke
Chhoti chhoti ashaon se
Khawaaishon ke mahal bana baitha hai...
Dekhta hai itne khuwaab ke
Mujhe gali aur nukad pe saja ke rakha hai..
Mol mera koi kya jane
Jab tak kharidar na aaye livane..
Itni shraddha aur aastha se
Karte hain meri aao bhagat ke
Mera dil bi dekh ke
Moom ki tarah pigal jata hai..
Ladoo padhe aur modhak ke saath mein
Milta hai suwadisht bhojan ka bhog..
Insaan ne aake dharti pe mujhe
Kitne roop mein baant diya..
Na jane kitne naam se
Meri puja karta rehta hai..
Hai aastha iske dil ki toh
Khuwashein hain iske mann ki aur
Khwab bunta hai bandh
Aankhon se nujhe manane ke..
Issi umeed se mujhe har saal bhulate hain
Ganpati bappa muriya purcha varshi laukar ya...


Friday, September 6, 2013

Beeta pal laut ke nahi aata..

Beeta pal laut ke nahi aata..
Gujra kal mur ke nahi aata..
Kat jati hai umar 
Gin gin ke din aur saal par 
Dil ka bachpana nahi jata..
Bithaye hain shaitan
(jalan aur nafrat) 
Dimaag mein aise ke 
Dil ko pyaar ka rasta 
Nazar nahi aata..
Jab apno pe sitam aur 
Gehron pe pyaar umara toh
 jaan buchke mann ne kiye kitne vaar.. 
Naa rakh itni  ranjeeshein..o re manna, 
ke zubaan se alfaaz fissal jaye,
Dil pe dard se zakhm ubhar aaye.. 
Bharte nahi woh ghav kabhi bas 
Dard ko waqt hai rulata aur sehlata.
Jab tak rehga saanson ka chalan 
Woh dard naasoor banke 
Dil mein zinda rehga..

Saturday, August 31, 2013

Ishq ke aankhon mein....

 Ishq ke aankhon mein ashqon ki nami..
Labon pe hai dard se karaate alfaaz..
Yeh kaisi mohabbat hai teri mehboob se 
Jo dekh ke sawan aankhon se sailaab chhalak aaye..

Gum-e-dil tadapta hai sawan ki bahar dekh ke
Kabhi woh bi jule thay meri bahon ke haar pehan ke..
Khayi thi kasmein, kiye thay vaade
Saath nibayenge umar bhar sangh tere..
Lauta sawan lauti bahar par 
 mere mehboob na laute ke aaye ab ki baar..


Friday, August 16, 2013

Duniya ke raas chakne mein..



O re manna..
Ek masoom sa dil seene mein, 
Jane anjaane se kiye is par 
Kitne vaar alag alag tarah se..
Chhupaye kitne dard 
Is mein apne jeevan ke..
Aik din ya ekk lamhe ko 
Nahi pakad sakte toh phir 
Kyun rakhe itne sare 
Dard is nazauk dil mein..
Yeh dil toh masoom hai re manna,
Teri khwaishon se 
Tere khuwaabon ki lalach se 
Aaj yeh haal hai hua.. 
Ab naa dhadkane hain saath, 
Naa hai saanso ki raftar kaboo mein..
Utha hai aisa toofan dard ka aaj dil mein, 
Jo aankhein bi beeg gayi aansuon ke sailaab se...
Itna tadap raha hai dard se shareer 
Ke rooh bi darr si gayi..
Ab na jane kitne pal rahoon is shareer mein..
Mila insaan ka chola bakti bhaav ke liye 
Par le gaya mann is mayavi jaal mein...
Batak gaya mann khud is chatpati 
Duniya ke raas chakh ne mein..
Aaj aaya pal jab pukare mann Ram Ram re..

Thursday, August 15, 2013

Do aazadi is dharti maa ko..

Lakh chhupao duniya ki nazar se.. 
Eh insaan, apne kuur kapat aur gunnah,
Par uperwale ki nazar se koi nahi bach pata..
Ab aaya samajh mein 
Kyun hai dharti dard se tadapti..
Insaan ke paap kab tak rehgi 
Chhupati apne seene mein..
Chhalni ho jata hai dharti ka dil 
Dekh ke insaan ke rangeen ehab..
Ab toh aasmaan bi hil gaya dekh ke tadap uski..
Rota hai itna ke sailaab ban jate hain paani se..
Ab naa woh mitti ki khushboo hai 
Naa woh mehak hai uske aanchal mein, 
Jo kheele phool khushiyon ke...
Bas ab aati rehti hai badboo 
Jahan nazar pherne aasmaan bi..
Ab toh is dharti maa pe kuch reham karo 
Apne dilse aur apne karam se 
Savaron aur sajao is bezubaan 
Dharti maa ko ujjar ne se..
Do aazadi is dharti maa ko bi 
Khushi se jeene ki is swatantra divas se..

Monday, August 12, 2013

Jab jab dil ne tumhe yaad kiya..


Jab jab dil ne tumhe yaad kiya 
Tab tab nazron ne tumhe khoja..
Aaj bi yeh aankhen talash ti 
Rehti hain raaste tere laut aane ka..
Afsos..masoom dil yeh na jaane 
Jo us mehboob(maut) se milte hain 
Kabhi laut ke nahi aate..