Sunday, December 30, 2012
Jate jate saal 2012 tod gaya dil..
Jate jate saal 2012 tod gaya dil humara..
Loot gaya woh
muskaan de ke dard dil ka gehra..
Num hoti hai aankhen soch ke
Kahan aake khade hain narak mein,
Jahan nahi hai surakhshit koi beti aur
behan...
Loot te hain izzat din dhare
Jahan nahi hai koi kanoon jo saath
nibhaye..
Koi toh samajhaye naye dampati ko
Kaunsi aulad ki khwaish dil mein jaga le..
Beti ya ho beta ab lagne laga hai
Darr sab ke mann mein aisa..
Duniya mein bhare hain
Insaan ke naqab mein haiwan aur darinde..
Sharam se neeche ho jata hai sar maa baap ka
jab beta ban jata hai putt se
kaput..
Ya rabba..ab toh is kalyug se mukti de kar
2013 mein satyug ke duwaar khol de..
La de naya savera
Jahan ho RAM aur RAHEEM sa beta..AAMEEN..
Saturday, December 29, 2012
Sword of Injustice...
Wakeup dude..wake frnds..
Their are many sisters n daughters
Still scared of rape n kidnap..
Is law under control of culprits..
Or it doesn't have courage to punish
mental, psycho & maniac till today..
Why are we feeling sorry & sad today..
We lost an innocent
human being or
Still thinking
about how to punish
those culprits with our own hands..
Apni haiwanyat se daag daag..
Janma tha main bi aurat ki kokh se dulara
sa..
Nazar padi uss pe to maa pukara tha..
Tha tara main
uski aankhon ka..
Bigarta gaya
galat sangat aur
Galat raahon pe
banke shaitaan sa..
Sambhal na saka
main khud ko is paap se..
Batak ta raha
main din aur raat mein..
Thi yeh kaisi
bhuk meri,
Jo karta gaya
main qatl
Har baar kitno
ke armaano ka..
Tha yeh kaisa
junoon mera
Har ladki pe
marta dil mera..
Afsos hua hai
mujhe apni galati pe aaj
Jis maa ne
diya mujhe itna laad pyaar
Maine uske
aanchal ko kar baitha
Apni haiwanyat
se daag daag..
Friday, December 28, 2012
Thursday, December 27, 2012
Wednesday, December 26, 2012
Ajeeb hai yeh rishta..
Ajeeb hai yeh pyaar ka rishta..
Kuch lafzon se
hie ho gaya dil aur dhadkan ka..
Khayal aur
khwabon mein thay ghum kabhi ek duje ke...
Pata na chala
kab hua waqt bichharne ka..
Khatam ho gayi
mudat saanso ki dhadkano se..
Tut gayi
dhadkane dil ki, tut gayi mala alfazon ki..
Tut ke bikhar
gaya mahal meri khushiyon ka..
Ab jee
rahe hain tanha bas
tumhari yaadon ke saaye mein har lamha..
Tuesday, December 25, 2012
Jo main janti...
Jo main janti bin bole chale jaoge toh
Hoti nahi tumse ek pal bi juda..
Kahan ho tum ab kis se puchhu
Kyun ho gaya
hai
Itna sanata sa mere dil ke yahan...
Lagta hai kho diya wo haq bi ab
maine
Tumse ruthne aur tumhe mana ne ka..
Aaj bi hai dard dil mein ke
Ab kabhi nahi paa sakenge
Tumhe apni zindagi mein dobara..
Saturday, December 22, 2012
aaya hai rakshas Odhke insaan ka avtaar..
Sunke subah aur shaam
Manzire ke sur aur taal...
Main aayi hoon tere duwaar..
Ab tum hi rakho
Bansuri wale nari ki laaj..
Chhaya hai teri
Nagri mein ghor andhkar
Loot raha hai nar
Pehn ke hewaan ka nakab..
Kyun ho raha hai ab
Teri nagri mein itna sara paap..
Jaago jaago mohan pyare
Murli wale loot raha hai
Koi teri gopiyon ki laaj.
Kyun nahi sunayi di tumhe
Ab tak kisi nari ki pukar..
Bandh kara do ab
Yeh besharami ka raas
Jahan loote baap apni beti ki laaj
Aur kare ameer gareeb pe atyachaar..
Bahut hua dard dilko dekh ke
Phir se aaya hai rakshas
Friday, December 21, 2012
21-12-2012..
Anni hai ek din sab ke heisse mein
maut,
Phir kyun darta hai is din se...
Maut ka matlab hai shaant hona,
Tum kyun darr rahe ho sabko jata jata
kar..
Jante hain sab, jana hai is jahan se
bi ek din,
Pata nahi hai woh din aur woh pal..
Bas jo yahan sab hain ruke isliye ke
abi apni Jagah nahi hai khali udhar...
Hai lambi kattar dono taraf se
Kisi ne aana hai kisi ne hai jana..
Bas intezaar hai to kaal ki gari aur
Vidaata ki qalam ka farmana..
Ah insaan bas ek din aaye thay
toh ek din is jahan sabhi ko hai
jana..
Wednesday, December 19, 2012
Agar jante ki..
Agar jante ki dooriyaan hongi
naseeb Mehboob se,
toh hum mohabbat naa karte..
Naa gujarte us gali se
Jahan mehboob ka intezaar rehta
Apne aankhon mein ashkon se..
Ya rabba yeh kaisa hai silsila mohabbat ka
Ya hai waqt ka pehra meri mohabbat pe
Jo main tadapti hoon milne ko
Aur woh taras ta hai
ek jhalak mere deedar ke liye....
Jo rishtay aankhon se..
Jo rishtay aankhon se
Nazar aate hain anmol
Aur dil ki dhadkano se jude..
Kyun tadap ke bikhar jate hain
Alfaazon ke teer se..
tab roti hain aankhen
aur hota hai dil udaas..
phir mann kehta hai
kyun hai tujko itni laalach
un cheezein ki jo hain
be-jaan si tere aas paas..
jab sunte hai har kisiko
muqammal jahan nahi milta..
phir bi tu kyun
chhoti chhoti baaton se apno se ladta..
Chha jate hain dard ke saaye aas paas
Jab tut ke ho jate dil taar taar..
Kyun lagi hai yeh nafrat ki aag,
Jab jante hain kuch bi
Nahi jata is jahan se apne saath..
Phir bi ladte hain hum tum
Kisi na kisi baat pe
anjaane se apno ke saath..
waqt ne loot liya...
Maa ke aanchal se judi..
Baba ke aagan mein palli..
Bhaiyon ke saath thi kheli kudi..
Din aaya aisa jo main chali piya ki gali...
Kabhi tha anjaan sa woh
Kuch pal mein ho gaya meri jaan..
Bandan tha aisa pyaar ka
Bhool gayi babul ke gar ka darwaza..
Hui zindagi aisi khushal
Milay pyare se laal..
Waqt tha pehredar
Bete hue padh likh ke jawan..
Abi hue bi nahi poore khuwab
Ke waqt ne loot liya mera suhaag..
Yeh kaisa hai safar mera jo
Har mor pe badal gaya saathi mera..
Kal tak jinko pal poskar bada kiya
Aaj wohi hai ab sahara mera..(bhai aur bete)..
Kaisi hai yeh waqt ki gari,
Jo badalti gayi mera har pal aur lamha..
Par na badal saki Maut ka muh,
Jo meri jaan ko Cheen ke le gayi
Mujhse dur humesha ke liye.. :(
Kahan dhoondu tujhe main...
Kahan dhoondu tujhe main
Kis se puchu main tera pata...
Pal pal khojti hai
Jo nazrein tumhe yahan wahan..
Aankhon ko kaise
Samjhaun main yeh bata..
Hai udaas bahut dil
Jo rota hai har lamha..
Rukte nahi ashq aur
Chup hoti nahi meri siskiyaan..
Kis jahan chale gaye ho tum
Bata do hum hi aajaye wahan..
Subscribe to:
Posts (Atom)