Tuesday, July 31, 2012
Monday, July 30, 2012
Sunday, July 29, 2012
Friday, July 27, 2012
Thursday, July 26, 2012
Kaise dildar log hain..
Kaise dildar log hain hum sab..
Fb pe aisi pics daalte hain jis mein jyada likes milay..
Kya hai koi aisa jo shuruwat kare ke
aise pics na dale jo kisi ki lachari bayaan kare..
Is se accha hai khud uski jaa ke madad kare..
Jaise MALIK takleef mein dhak ke humari madad karta hai..
'Kyun karte ho uski(malik) karigari ki
numaish jo aadhi aur adhuri si ban gayi..
Yeh aisa hai kyun ke tujhe banane mein
waqt jyada lag gaya isliye isko waqt ne de paaya",...
Per ismein wo hossle wo jazba hai jo tum mein nahi..
Kisi ko waise, kisi ko aisse sab ko karmon ke
Tarazu se tol mol ke vidaata ne banaya hai..
Phir kis baat ka prachaar kar rahe ho..
Agar tum us malik ke bakt ho toh..
Palkein jhuka ke uski kami ko tum dhak do..
Wednesday, July 25, 2012
Tuesday, July 24, 2012
Monday, July 23, 2012
Sunday, July 22, 2012
Saturday, July 21, 2012
Patang..
Pehn ke rang bi rangi kagaz ka libaas
thaam ke patli lakdi aur daage ki dor..
Dekho kaise udh chali
main neele aakaash..
Bandi hun aisi dor se jo
karaye tha thai ka naach mujhe..
Yeh lo sab se khud ka
peecha chhudaun bach bach ke
Yahan se wahan lehraun..
Mast hawaa mein kabhi
Niche to kabhi uper main uddti jaaun..
Areee kisne kaat di meri dor
lo main giri zameen ki or..
Lar khati bal khati dhak dhak karti
lapak gayi kisi deewaar se jaa ke..
Ab latak ke hawa se lad rahi hun,
Fatti aur tutti hui si patang lag rahi hun..
Thursday, July 19, 2012
Wednesday, July 18, 2012
Rajesh Khanna ji chale..
Dur gagan pe bi hain apne paraye..
dekho kaise rooh udh jate hai dharti se
aakaash pe banke patang ke saaye.
kal tak thay zameen ke sitare
aaj chamak ne chale hai
aasman pe banke taare..
chhod ke dharti Rajesh Khanna ji
chale hai un sab se milne
udd ke kafan aur phool ki malayein..
Eshwar Rajesh Khanna ji ki aatma ko shanti de..
Khamoshi se kar jaye..
Khamoshi se kar jaye
aankhon se aankhon pe vaar..
ho jaye nazron ka ikraar,
aur bina boley ho jaye pyaar ..
wo dilse uthti samundar ke laheron ki aawaaz..
wo bajhte dhadkan se sargam ke sur saat,
le aaye bin baat hoton pe muskurat..
jab wo sharma ke jhuka de nazar..
kitna pyara hai anjaan muhabbat ka izzhaar...
Tuesday, July 17, 2012
Kaash wo palat ke dekh le..
Kaash wo palat ke dekh le to
Mehfil mein jaan aajaye..
O Husn-E-Noor ki malika..
Aik baar to dekh
Murh ke chehra mera..
Kab se nazrein hain meri
Tumhe pukar rahi..
Tum ho ke gehron ke
Naaz uthaye jaa rahi..
Aik hum hai ke Dil-O-Jaan
Luta baithe hai tum pe,
Aur tum ho ke apni adaon se
mera qatl kiye jaa rahi ho..
mera qatl kiye jaa rahi ho..
Aaj dil tumhe yaad...
Aaj dil tumhe yaad kar ke
Muskurata raha aur aankhen ro padi..
Yaad aa gayi wo tumse pahli mulaqat ki gari..
Wo tumhari meethi si baatein
Wo tumhara pyara sa andaz..
Kaash na milte humse aap..
Ufff..toh naa hota mera
Yeh bechain sa haal..
Aaj bi nazrein dhundti hai tumhe
shayad meri yaad aajaye tumhe aur
tum ajnabi ban ke laut aao mujhse milne....
Sunday, July 15, 2012
Tah umar beet gayi is..
Tah umar beet gayi is din aur raat ke beech..
Pata na chala kab aagayi gaddi meri patri ke nich..
Sochta tha sochta hie reh gaya
ab naa kuch hai mere haath de vich..
Tah umar beet gayi meri
Dekhte dekhte sunhari dhoop..
Ab aankhon mein naa wo roshni hai
na in bhajuon mein wo dum..
Sochta hun kahan kho gaya tha
main jawani mein jo aaj hai
Mera yeh roop aur rang..
Tah umar beet gayi meri
Ab mujh mein hie nahi hai
Wo josh jo chal saku
Is waqt ki tic tic ke sangh..
tah umar beet gayi ab
ginta hun apne bache hue kal..
Labels:
gaddi.. patri..
Kaisi hai yeh yaadein teri...
Kaisi hai yeh yaadein teri...
Ab dhundlane lagi hai meri nazron se..
Halke halke se zehain mein mere tasveer teri,
jaise ab wo bi mujhse dur jaa rahi hai..
Sochti hun kaisa tha wo pal jo
mere liye tum hie tum thay bas apne se..
Ab kho gaya sab kahin dur ke
Sametna bi chahun to hathliyaan
meri majboor hoke bandh ho jati hain..
Friday, July 13, 2012
Chale udh chale..
Chale udh chale
khula aakaash aur vishal dharti pe..
Ho gayi aapse bahut dosti yaaron.
Ab naa puchho kaunsi hai manzil meri..
Neela aasmaan hai
neela samundar hai per
ab na koi mera humsafar hai.
kal bi thay akele aaj bi hain akele se..
Mujh jaise anjaan musafir ka
bas kuch palon ka saath tha aapse..
Dur dagar hai katthin safar hai..
Bas saath hai aapki pyari duaaon ka..
Insaan hai ke dabb ta..
Duvaon se bare hain dargha..
Manaton ke minaar hai khade....
Khuwaishon se bandh hai qabrein..
Insaan hai ke dabb ta
Jata hai inke tallay..
Koi pyaar ki lalach mein to
Koi dhan dault ki lalach se
phir ta inke aage pichhe..
Darghaon mein peer mile
mandiron mein maharaj bi.
Sab ne bataya mazaa le sab ka
per saath na jata kuch bi..
Akhir aake milega
is zameen mein hie..
Sochte hain kitna din raat..
Per aata nazar nahi kuch haath..
Khali hai hatheliyaan to
Koi nahi thaamega ungliyaan bi..
Duvaon ka asar hai jo
aaj bi is zameen per
milte hai rabb aur khuda se
jaa ke mandir aur masjid mein
per kam nahi hoti ab bi dil ki muradein..
per kam nahi hoti ab bi dil ki muradein..
Thursday, July 12, 2012
Wednesday, July 11, 2012
Lekar kattora haath mein..
Ya khudaya na banata yeh paet to kitna accha hota..
Jee lete hum in saanso aur dhadkon pe..
Per yun to naa dhar dhar rona padta
Lekar kattora haath mein roti ke liye..
Koi deta hai roti to koi duudkaar deta hai ..
Per mere malik mera paet kahan barta hai..
Auron ko de diya itna sara phir
Mere liye kyun na diya thoda sa..
Ya wo sab tujhe pyaare hai to
Kya main na hun tera dulhara..
Jee lete hum in saanso aur dhadkon pe..
Per yun to naa dhar dhar rona padta
Lekar kattora haath mein roti ke liye..
Koi deta hai roti to koi duudkaar deta hai ..
Per mere malik mera paet kahan barta hai..
Auron ko de diya itna sara phir
Mere liye kyun na diya thoda sa..
Ya wo sab tujhe pyaare hai to
Kya main na hun tera dulhara..
Ibaadat ho malik ki..
Ibaadat ho malik ki namaaz se ya praathna se
bas sheesh juke to uske aage sajda karte hue..
Naa ho koi ghamand naa ho koi akkar
jab mil ke aaye malik ke dar pe..
Khule to haath bi uske aagaye
Shukar adaa kar ne ke liye..
Nazar uthi bi to palkon ko bandh kar ke
Uski bandhgi kar ne ke liye..
Hai koi aisa jo naa jhuka uski rehmat ke aagay..
koi apni khushi bayaan kar gaya to
koi apna dard suna gaya khamosh alfaaz se..
Tuesday, July 10, 2012
A FRIEND..
I think..
A friend is a gift from god..
an angel send by almighty..
we meet while crossing
miles of life via via ways...
Trust a friend with
lots of love & faith..
share thoughts & secrets with a friend..
Every friend gives good or bad gift of
memories to Remember them in life..
am happy to have a friend like you in my life..
but are you lucky to have an angel as a friend in your life..
Sochti hun tume..
Sochti hun tume shaam aur subah..
Aur main karu to kya..
Meri aankhon mein
Basse ho tum is tarah ke
Nazar aur koi aata nahi..
Khayal kahin aur jata nahi..
Labon pe naam tera
Gungunate rehte hai
Jaise tum geet ho pyaar ka..
Raat aur din rehta hai bas tera intezaar
pata nahi kab aayegi wo suhani si mulakat ki shaam..
Monday, July 9, 2012
Naraz hoke bi...
Kuch palon ki hai zindagi..
Kisi se naraz hoke bi
Nahi jee sakte kabhi..
Kya pata kab bandh ho jaye
Dharkte dil ki tic tic bi..
So smile n forget them
Who have hurt u
& disliked u kabhi na kabhi..
yehi hai is kalyug ki reet..
yeh duniya hai suwarthi aur
matlabiyon se bhari..
naa dena dosh kisi ko bi
matlabiyon se bhari..
naa dena dosh kisi ko bi
kyun ke sab hai jude hum se hie..
Sunday, July 8, 2012
uske dil ko bekarar..
Aaj karte hai uske dil ko bekarar..
Thoda sa tadpate hai khel ke dil si dil ki chaal..
Jo ban baitha hai mera talabgaar..
Bhulate hai unne sunna ke pyaar ki awaaz,
Kya wo aate hai paas mere sunke dil ki baat..
Aankhon ko hai intezaar bas
Nazrein karle thodi si shararat..
Aaj khelenge pyaar ki baazi dil se un sangh.
Bas dekhe wo nazar to aaye mehfil mein ab..
Labels:
pyaar ki baazi..
Eh meri mohabbat..
Eh meri mohabbat..
Tere pyaar mein hum
itne dhoob chuke ke
Ab hosh nahi rehta
Humein duniya ka..
Tujhse naa milay
To tadap ke bechain
Ho jata hun din raat..
Janta hun tum pe
Duniya ki nazron ke
Pehare hain hazaar..
Per kya karu mein
Tumse milne ke liye
yeh dil aur nazrein
Ho jate hai bekarar..
Raat gujarti nahi aur
Din tere bina kat ta nahi..
Bas hota hai intezaar
tumse milne ka har baar..
Zindagi ka sab se aakhri jeev ..insaan..
Zindagi ka sab se aakhri jeev ..insaan..
Jo ladta rehta hai apne karmon ke
Hissab se roz din aur raat...
Kahin pe pyaar hai to
Kahin pe hai kalesh kisi ke saath..
Bas juzta rehta hai har ek ke saath..
Kabhi acchai to kabhi bhurai..
Kabhi apne to kabhi pyare.
Kabhi ameeri to kabhi gareebi..
Kabhi gham to kabhi khushi..
Kabhi dukh to kabhi sukh..
Kabhi aansu to
Kabhi muskurat ke saath..
Yeh sab hai insaan ke
Dost aur dushman..
Kai baar larkharaya
Bi hai in raahon per,
Per phir bi chalta raha
Us malik pe vishwas rakh kar..
Lena deni ke chakkar mein
Piss jata hai thak kar..
Koi khud chala jata hai..
Koi khud ko khattam
Kar deta hai suicide karke...
Per yeh chakkar hai
84 lakh ke janmon ka
Aisa sadhu aur saint hai kehte
Per sab jante hai
sab hai mohre uske shatraj ke..
Phir bi kehte phirte hai
Mera mera aur apna paraya..
Jab kuch nahi hai saath jana..
Phir kis liye itna waqt
In sab mein gahvana..
Jiske liye aaye ho
(malik ke bandagi ke liye)
Wo kar ke aage chalo..
Bas us malik ka naam japo..
Ya rabaa ji..
Tera bana(sirishti) mitha lage
Jis mein hai rakhe tumne
Swaad ke anhadd jaal bana ke ..
Per hum nalayak jeev aaj bi hai
Lalch aur makari ke jaal mein phanse..
Saturday, July 7, 2012
Wo yaad aa...
Eh dil na kar na kisi se itna pyaar ke
Wo yaad aa aa ke rula ke jaye baar baar...
Ruthe hote to mana lete unne kisi tarah per
Pata nahi wo kyun chhup baithe hain
Kahin jaake dur humse..
Eh dil kaise batayein un ne ke
Yeh duriyaan bahut chubti hai tanhaiyan banke..
Wo laut aaye to ab jaane na dena dur apne se..
Friday, July 6, 2012
Ghari bhar ruk jaa..
Ghari bhar ruk jaa aaj ki raat..
Kuch pal to beeta mera saath..
Yeh shama bi jal ke khak ho jayegi..
Per meri aankhon ki pyaas na bhuj payegi..
Kar lun jee bharke tere deedar..
Kahin chhalak ke na aajaye aansu bahar..
Deewana hua baitha hai dil zidd pe.
Naa maane tum to rula dega
aankhon ko bedardi se..
Labels:
aankhon ki pyaas..,
Ghari bhar
A gift..
A gift brings happiness..
Until its wrapped up with
Love & sweet smile..
The moment you unwrap the gift
See the surprise in the eyes..
The moment you see the gift
Heart decides like close 2 d heart.
& dislike keep away from d eyes..
But no one sees d sentiments
Of d gift giver's choice..
Pls..think 4r a while..
Thursday, July 5, 2012
Wednesday, July 4, 2012
Kya fb ke bahar bi aap apni dosti nibhaoge..
Kya fb ke bahar bi aap apni dosti nibhaoge...?
Aaye din yeh post hota rehta hai..facebook pe..
Areey..is zameen per jahan khoon ke rishte nahi tikte.
To dil ke rishte kaise reh paayenge saath..
Aap aur hum to ab mile hai ..
Aise kaise aapko batayein..
Kisko pata kab tak ka ho saath..
Zindagi ke safar mein milay ho to
Hans bolke chal do saath..
Ab kisi bi rishte se umeed na
Rakh saath nibaane ki..
Har rishte pe hai raaj lalach aur bukh ka...
Ab insaan ho gaya hai andha apni jaruraton ka
Karne laga hai apne khoon ko naga..
Sharam sar kar diya hai
Apne janam data ko.
Kya bole ab hum aapko.
Ab nahi hai khud se kisiko fursat jo
aapki sunne ya apni sunnay baith ke kabhi...
So dear frnd..live 4r today only..
Sachi dosti hai aapki aur humari to
jaroor chalegi jab tak hai
saans aapko aur hume pyaari..
Aap aur hum to ab mile hai ..
Aise kaise aapko batayein..
Kisko pata kab tak ka ho saath..
Zindagi ke safar mein milay ho to
Hans bolke chal do saath..
Ab kisi bi rishte se umeed na
Rakh saath nibaane ki..
Har rishte pe hai raaj lalach aur bukh ka...
Ab insaan ho gaya hai andha apni jaruraton ka
Karne laga hai apne khoon ko naga..
Sharam sar kar diya hai
Apne janam data ko.
Kya bole ab hum aapko.
Ab nahi hai khud se kisiko fursat jo
aapki sunne ya apni sunnay baith ke kabhi...
So dear frnd..live 4r today only..
Sachi dosti hai aapki aur humari to
jaroor chalegi jab tak hai
saans aapko aur hume pyaari..
Labels:
umeed..jaruraton..
Tuesday, July 3, 2012
Koi to wajah hogi jo..
Koi to wajah hogi jo kismat ne milaya tumse..
Meri adhuri si zindagi ke panne per tumhara bi
Naam chhupa tha chand lafazon mein..
Tumhara bi kirdaar tha ajeeb sa..
Jaise kuch pal ka saath tha tumhara ajnabi sa..
Na tum dost bane, na tum saathi zindagi bhar ke..
Safar-e-zindagi mein tum aaye ek khuwaab se..
Aankhein khuli to saath tumara bi chhut gaya..
Dhere dhere tum bi mujhse dur ho gaya.
Bas ab tumhari kuch dhundli si
yaadein hain seene mein bandh mere..
Monday, July 2, 2012
Subscribe to:
Posts (Atom)