Saturday, June 30, 2012
Ishq aur mushq chhupaye..
Ishq aur mushq chhupaye nahi chhupte..
Naam tera sun ke jab lab muskura uthte..
Khil jaye chehre pe rang
Aisa gulabi tumein bata nahi sakte..
Tumse izhar-e-mohabbat bi
Sar-e-aam bayaan nahi kar sakte..
Haal-e-dil kaise sunnay apna
Jab tak tumse mulakaat nahi karte..
Khoye hain jabse tujh mein hum
tere ho ke reh gaye.
phir bi yun Khuli palkon se
Kyun dhundte hain tumein aaine mein....
Labels:
Izhar-E-Mohabbat..
Thursday, June 28, 2012
A dil thaam le mera haath..
A dil thaam le mera haath..
Sambhal ja aaj ki raat..
Kal hoga naya savera
Shayad badal jaye tera iraada..
Akela kaun kab reh paya...
Saans aur dhadkan ko tu hai pyara..
Na ruth yun is tarah ke wo dono tut jaye..
Naa jao mujhe(mann) yun chhor ke akela
A dil tere bina kya hoga mera(mann)..
A dil sambhal jaa zara..
Dekh tere charon taraf hai aansuon ka sailaab
Kahin dhub na jaye tu inke dard mein be wajah..
Le thaam le mera saath..
Rakhenge tujhe chhupake seene ke paas..
Le thaam le mera haath..
Wednesday, June 27, 2012
Saath laye thay kya..
Saath laye thay kya, kuch yaad nahi aata..
Saath kya le jayenge wo waqt kabhi nahi batata..
Per badi koshish mein lage hain
hassil karne ko har chizz wo haath aa sake..
Is se pahle ki koi aur le jaye..
Likhi hai vidaata ne sab ki kundali..
Kitaab to uski khuli hai sab ke saamne
per har ek usse padh nahi pata..
Mausam wo badalta hai, lakeerein wo khichta hai..
Kismat ka har panaa wo palatta apni marzi pe....
Per humein hie nazar nahi aata uska yeh khel..
Insaan ko baithaya shatranj pe kudrat ne
Kai mohre (lalach,aalsipan.makari.jazbaat aise kai mohre) ke saath..
Jeet ne ki koshish mein har baar maat khata aaya insaan..
Aaj bi batak raha hai har jeev yahan se wahan
dhudte hue apna wajud aur apni pehchaan.
Tuesday, June 26, 2012
Janam janam se..
Janam janam se tadapte aaye..
Is janam mein shayad hum tum mil jaye..
Pyaar mohabbat ki shamaayein sadhiyon se jalate aaye..
Kaash is janam mein kuch lamhe saath beetayein..
Har janam mein saath nibaya hai..
Ab is janam mein tujhe pana hai..
apne dilon ko ekk rooh mein basana hai..
Sadiyon se dekhte aaye
Pyaar mohabbat ka dushman zamana hai..
Per yeh duniya kya jane tera mera pyaar kitna purana hai...
Monday, June 25, 2012
Main nadiya ki dhara...
Main nadiya ki dhara hun tum thhara hua
kinara..
Paani ki maujon se lipta hai tera
wajud sara..
Aati hun badi durr se milne tumse
Per pal bhar bi tum mujhe nahi rok
pata..
Tum kya jano kitna machalta hai
Dil mera tumse milne ke liye,
Per har baar laut jati hun udaas
hoke..
Jab dekhti hun tume gehron se ulhje hue
Main samajhi tum ho bas mere liye...
Sunday, June 24, 2012
mausam aaye..
Mausam aaye mausam jaye..
Har baar dil mein
ek nayi umeed jagaye..
Har mausam ke hai
apne rang..
Har rang ke hai
sur aur tarang.
Kabhi hai khushi
to kabhi hai gham..
Phir bi jeete hai
aap aur hum..
Har din bhunte hai
nayi khuwaaishein
Chalti hai zindagi
ki gari aahiste aahiste..
Kitne mausam aaye
aur
Kitne mausam beet
gaye..
Per hum hie hai jo
har baar se
Ab kuch jayda
badal gaye..
Maine thama haath per...
Kiya tha pyaar ka vaada dono ne kabhi.
Maine thama haath per tumne nahi.
Chot lagi aisi mujhe ke
haath chhut gaye..
Dhere dhere se teri nazron se
dur hote chale gaye..
Kyun nahi majbhuti se
thaame tumne haath,
jo Hum aaj tere dil se
bi dur ho gaye..
lagta hai kachaa sa tha rishta,
adhuri si thi chahat ki dor isliye
aaj hum tum hai ek dusre se durr...
Saturday, June 23, 2012
Monday, June 18, 2012
Dil ki panno pe..
Dil ki panno pe dard ki siyai se
jazbaat likh laye..
Is pagal maan se aaj lad aaye..
Har pal itni khubsurat
aankhon ko tadpata..
Palkon ko bheega ke
saje kajal ko bikhre ta..
Puchha to kehta hai..
Gori teri kali aakhiyan lalchay
Kitne mann aur kitne aankhiyan..
Mujhse behri ho jati hai wo,
Jab sunti hai unki batiyaan..
Raat raat bhar unke khayalon mein
Dhoobti hai yeh aankhiyaan..
Chain mera loot jata hai..
Wo to bas jaage aur sote
mein bi bunte hai unke khuwaab..
Sunday, June 17, 2012
Saturday, June 16, 2012
Friday, June 15, 2012
Wednesday, June 13, 2012
Monday, June 11, 2012
Thursday, June 7, 2012
Mujhse milne ki chahat bi
Yaad to tumhe meri aati hogi...
Mujhse milne ki chahat bi satati hogi..
Chahay karo kitne bi palkein bandh per
Meri tasveer aankhon mein nazar aati hogi..
Chupke se karte hoge hawaon se meri baatein...
Khayalon mein basa ke mujhe muskuray hoge tum..
Bheega ke palkein chhalke hoge ashq bi kabhi kabhi..
Jab main hun saanso aur dhadkon mein teri,
Phir kyun karte ho mujhse milne mein dehri..
Wednesday, June 6, 2012
uthe hai dard aise..
seene mein uthe hai dard aise ..
tujhse milne ko ho bechain jaise..
aankhein tadap gayi
nazron ko samjhain kaise..
dhadkano pe saanso ka raj hai
is dil ko sambhale kaise.
tumse milne ki khuwaish hai per
yeh duriyaan paar kare kaise..
yeh dil ke dard hain bedard aise..
shayad ab kabhi tumse milne bi na de..
Monday, June 4, 2012
Saturday, June 2, 2012
Wo Upper Baithke
"O Khudaya"Upper Baithke
Dil Se Dil Ko Mila Ke Phir
Jazbaaton Se Kyun Khelta Hai..
Pal Pal Dekhta Hai Tamasha
Dilon Ka Mazze Leke..
Isliye Tumne Kisi Se
Pyaar Na Kiya Kabhi Dilse..
Aik Baar Kar Ke Dekh Le
"Ya Khudaya" Tu Bi Pyaar Kisi Se..
Bhool Jaoge Phir Apne
Us Aasmaan Ke Chand Taare..
Dhub Ke Dekho
Aansuon Ke Dhariya Mein..
Dard Ke Pahar Se Gujar Ke
Dekh To Le Kisi Ke Liye..
"O Khudaya" Bhool Jaoge Tum bi
Dilon Se Khelna Uper Baith Ke.
Maine To Har Ibadat Pe...
Maine to har ibadat pe
apna sar tere aagay tha jukaya..
Kaisi saza di eh khudaya..
Dil bi mera tuta..dard bi maine paya..
Aansuon ke sailaab mein
Aankhon ne palkon ko beegoya..
Tadap tadap ke rehgaye dekh ke tera khel sara..
Na tha pasand tujhe mera uska saath
to kyun mujhe usse milaya..
Mila ke phir kyun mujhe tumne yun rulaya..
Kyun tune mere dil mein mohabbat ka deep jalaya..
Phir mere hie aansuon se usse bujaya..
Kaisa yeh tune mere saat khel rachaya..
Friday, June 1, 2012
kyun chhupay ho chand ko..
kyun chhupay ho chand ko badalon ke pichhe.
khol do in kali gattaon ko aanchal se.
lehrane do in kali nagin si zulfon ko aaj hawaon mein..
khol do nazuk ungliyon se aanchal ko..
kahin tadap ke bal na par jaye gori kalai mein.
kyun chhupay hai tumne yeh madhira jaise nayan..
jisko dekhne ko hue jaa rahe hum bechain..
kabse ho tum ghumsum si khoyi khoyi si kahan..
paas aao, na raho dur tum humse itna
ab na lo mere sabr ke imtiaan
ab na lo mere sabr ke imtiaan
kyun tum kuch nahi bolti meri jaan..
Subscribe to:
Posts (Atom)